Bhala Main Our Kya Lata Hussain Ke Dar Se Lyrics In Urdu and Roman Urdu
بھلا مَیں اور کیا لاتا حُسینؑ کے دَر سے
Hussain Mang Laya Hussain Ke Dar Se.
Jahan Se Rizq Hain Pate Yeh Sare Jin-o-Bashar.
Shajar Samar Hoon Zameen-o-Zamaan Keh Shams-o-Qamar.
Nizam Chalta Hai Sara Hussain Ke Dar Se.
Andheri Qabar Mein Har Samt Roshni Ke Liye.
Qaza Ke Baad Bhi Main Apni Zindagi Ke Liye.
Kafan Khareed Ke Laya Hussain Ke Dar Se.
Haan Pochne Pe Mera Dil Yehi Batata Hai.
Faqt Woh Shaks Hi Karb-o-Bala Ko Jata Hai.
Hai Aata Jis Ko Bolawa Hussain Ke Dar Se.
Yeh Baat Aya-e-Tatheer Ka Khulasa Hai.
Wo Shaks Ain Nijasat Ka Hi Sarapa Hai.
Jo Door Jitna Bhi Ho Ga Hussain Ke Dar Se.
Qasam Khuda Ki Kabhi Dar Badar Nahi Hota.
Phir Oss Ki Maut Ka Bhi Kuch Khatar Nahi Hota.
Jo Joor Leta Hai Rishta Hussain Ke Dar Se.
Jabeen Apni Jhuka Kar Salam Karta Hai.
Wo Rukh Hussain Ka Kar Ke Namaz Parhta Hai.
Jo Dekha Goar Se Kaba Hussain Ke Dar Se.
Hai Aik Zaat-e-Khuda Our Hai Ik Hussain Ki Zaat.
Woh Aik Baat Keh Kuch Farq Ki Nahi Koi Baat.
Khuda Se Mang Liya Ya Hussain Ke Dar Se.
Mujhe Yaqeen Hai :RAQIB: Main Jee Nahi Paon Ga.
Keh Jis Baras Bhi Main Karb-o-Bala Na Jaon Ga.
Main Door Reh Nahi Sakta Hussain Ke Dar Se.
Poet: :Raqib Hassnain Raqib:
Book: :Hussain Ke Dar Se:
#HussainKeDarSe
#ManqabatLyrics
#tajpoint