Dil Mera Sooz-e-Nehaan Se Be Mohaba Jal Giya Lyrics In Urdu 2017
Dil Mera Sooz-e-Nehaan Se Be Mohaba Jal Giya.
Aatish-e-Khamoosh Ke Manind Goya Jal Giya.
Dil Mein Zooq-e-Wasal-o-Yaar Tak Baqi Nahi.
Aag Iss Ghar Mein Lagi Aysi Keh Jo Tha Jal Giya.
Main Adam Se Bhi Pare Hoon, Warna Gafil! Barha.
Meri Aah-e-Aatsheein Se Baal-e-Anqa Jal Giya.
Arz Kijiye Johar-e-Andesha Ki Garmi Kahan?
Kuch Khiyal Ayat Tha Wehshat Ka Keh Sehra Jal Giya.
Dil Nahi Tujh Ko Dikhta Warna Dagoon Ki Bahaar.
Iss Cheragaan Ka Karoon Kiya Karfarma Jal Giya.
Main Hoon Our Afsurdagi Ki Aarzo, :GHALIB: Keh Dil.
Dekh Ker Tarz-e-Tapaak-e-Ahl-e-Dunya Jal Giya.
Poet: :Mirza Asadullah Khan Ghalib:
#DilMeraSoozeNehaan
#GhazalLyrics
#tajpoint
