Dunya Mein Aabroy-e-Bashar Hai Hussain Se Lyrics In Urdu 2017
Dunya Mein Aabroy-e-Bashar Hai Hussain Se.
Wabasta Iss Liye Mera Ghar Hai Hussain Se.
Rang Shafaq Se Sham Ke Daman Pe Hai Likha.
Iss Kainat Mein Tu Sahar Hai Hussain Se.
-->
Hum Loag Maut Ko Bhi Samajhte Nahi Hain Maut.
Mansoob Zindagi Ka Safar Hai Hussain Se.
Khaif Hussainiyat Se Rahe Gi Yazeediyat.
Islam Dushmano Ko Zar Hai Hussain Se.
Tarbiyat-e-Rasool Hai Iss Bat Ka Daleel.
Shadaab Aaj Dein Ka Shajar Hai Hussain Se.
Touheed Khairiyat Se Jahan Gamzan Rahe.
ROshan Har Aisi Rahguzar Hai Hussain Se.
Mehshar Ke Din :AZAI: Yehi Kaam Aye Ga.
Dunya Mein Rab-o-Zab Agar Hai Hussain Se
Poet: :Ijaz Azai Sialkot:
#HussainSe
#SalamLyrics
#tajpoint
Dunya Mein Aabroy-e-Bashar Hai Hussain Se Lyrics In Urdu 2017 Write Up Poster Image
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
