Haider AS Ka Mussalla Mir Hasan Lyrics in Urdu 2015
Haider AS Ka Mussalla Hoon Main Write Up in Urdu 2015
Kya Takht-e-Sulemaan Ki Haqeeqat Mere Aagay.
Urr Kar Bhi Woh Aflak Se Neeche Hi Raha Hai.
Hai Sarhad-e-Sidra Se Bhi Aagay Meri Parwaz.
Qadmon Ne Ali Ke Mujhe Rutba Yeh Diya Hai.
Haider AS Ka Mussalla Hoon Main Haider AS Ka Mussalla
Rehta Hai Mere Zair-e-Qadam Arsh-e-Moalla.
Din Dhalte Gaye Our Guzarti Rahi Ratein.
Tanhai Mein Karte Howay Allah Se Batein.
Mujh Par Hi Mere Mula Ne Ghazi(AS) Ko Tha Manga.
Toqeer-o-Sharf Lafz Hai Main Unn Ki Haqiqat.
Iss Baat Se Samjhe Yeh Zamana Meri Hurmat.
Mujh Ko Kabhi Zahra(SA) Kabhi Zainab(SA) Ne Bichaya.
Allah Nahi Hai Ali(AS) Allah Ka Wali Hai.
Dunya Ko Dalil Iss Ki Faqat Mujh Se Mili Hai.
Sach Main Ne Kiya Sorah-e-Ikhlas Ka Dawa.
Khamosh Shab-e-Aqad-e-Ali(AS) Tha Main Adab Se.
Jab Chadar-e-Zahra(SA) Pe Ali(AS) Karte The Sajday.
Oqaat Meri Kya Thi Keh Oss Waqt Main Kehta.
Tarteeb Mein Agay The Nabi(SAWW) Piche The Haider(AS).
Jab Bait-e-Muqadas Se Murey Kabay Ke Rukh Par.
Kuch Pal Ko Mere Piche Tha Sarwar(SaWW) Ka Mussalla.
Iss Baat Ki Tasdeeq Khud Az Qaul-e-Nabi(SAWW) Hai.
Jo Aashiq-e-Haider(AS) Hai Namazi Hi Wohi Hai.
Munkir Jo Wilayat Ka Hai Dushman Hai WO Mera.
Maula(AS) Ka Mussalla Bhi Hoon Khairaat Ka Dar Bhi.
Anghothi Mere Samne Maula(AS) Ne Atta Ki.
Jab Hath Barha Tha Tu Main Qadmoo Mein Para Tha.
Ik Din Ye Sama Sab Ko Nazar Aye Ga :AKBAR:.
Kabe Mein Bichaein Gaye Jo Maula(AS) Mujhe Aa Kar.
Isa(AS) Ka Mussalla Mere Piche Hi Biche Ga.
Poet: :Hasnain AKbar:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2015-16: