Har Taraf Fooj-e-Sitamgar Our Akeley Hain Hussain Lyrics In Urdu 2009
Har Taraf Fooj-e-Sitamgar Our Akeley Hain Hussain Write Up In Urdu 2009
Sab Ke Hathoon Mein Hain Pathar Our Akeley Hain Hussain(A.S).
Teer Mehmano Ke Zakhmoon Se Nikalne Hain Abhi.
Waqt Kam Hai Phir Bhi Kitne Kaam Karne Hain Abhi.
Be Kafan Lashey Bahatar Our Akeley Hain Hussain(A.S).
Lashaye Akbar(A.S) Peh Akhir Kiss Tarah Pohanche Pidar.
Jiss Taraf Barhte Hain Mola(A.S) Teer Bharte Hain Udhar.
Rokne Wala Hai Lashkar Our Akeley Hain Hussain(A.S).
Maa Yeh Khaimay Se Sadaein De Rahi Bar Bar.
Ya ALi(A.S) Ka Naam Le Kar Sath De Aye Zulfiqar.
Khodi Hai Qabar-e-Asghar(A.S) Our Akeley Hain Hussain(A.S).
Parah Parah Kar Chuke Quran-e-Shabar(A.S) Ko Laein.
Char Soo Bikhra Hai Qasim(A.S) Par Kahin Milta Nahi.
Lash Hai Meloon Ke Andar Our Akeley Hain Hussain(A.S).
Lashaye Abbas(A.S) Ran Mein Dhondta Hai Murtajiz.
Hole Hole Khud Se “AKBAR” Keh Raha Hai Murtajiz.
Shimar Aa Pohancha Hai Sar Par Our Akeley Hain Hussain(A.S).
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha KhuwaN: :Asghar Khan:
Noha Volume: :Asghar Khan 2009-10:
Composition: :Asghar Khan:
Book: :Maqtal-e-Ishq:
Markazi Matami Dasta Chan Pear Party Behlol Dana Parveiz Asghar Group Sialkot
#NohayLyrics
#tajpoint