Ik Din Mein Fatima Ka Bhara Ghar Ujar Gaya 5-8 Lyrics In Urdu
Ik Din Mein Fatima Write Up In Urdu
Qasim Ke Kya Shagun Howay Haye Lab-e-Furat
Har Rasm Khud Nibhati Rahi Maut Sath Sath.
Tapon Ki Zad Mein Aa Gayi Farwa Ki Kainat.
Choti Si Ik Rida Mein samai Thi Pori Zaat.
Mehndi Thi Ya Lahu Tha Tan-e-Pash Pash Par.
Gul Ka Guman Hota Tha Qasim Ki Lash Par.
Gulshan Ke Gul Tu Gul The Kali Bhi Na Bach Saki.
Andheer Mach Giya Tha Andheri Thi Zindagi.
Karki Kumaan Tu Khaimo Mein Madar Samaj Gayi.
Apne Hi Khoon Se Bhuj Gayi Asghar Ki Tishnagi.
Dunya Mein Kuch Kahe Bina Khamosh Ho Giya.
Aankhein Khuli Hi Reh Gayin Be Sheer So Giya.
Haye WO Sham Sham-e-Gharebaan Kahein Jise.
Furqat Ka Ik Payam Tha Sughra Ke Waste.
Sughra Tu Door Khat Se Bhi Akbar Na Mil Sake.
Dekhi Hai Maut Ne Yeh Azeeyat Qareeb Se.
Akbar Ki Lash Se Khat-e-Sughra Tha Itni Door.
Qabar-e-Nabi Se Tubat-e-Zahra Hai Jitni Door.
:AKBAR: Janab-e-Sani-e-Zahra Ki Thi Yeh Baat.
Khanjar Se War Karta Tha Sheh Pe Wo Bad Sifat.
Bandhe Howay Hisar Thi Mein Tu Nazar Ke Sath.
Rakhe Howya The Halq Pe Amma Ne Apne Hath.
Khanjar Ke Raste Mein Jo Sheh Ayi Kat Gayi.
Shabir Ka Gala Meri Benai Kat Gayi.
Poet: :Hasnain Akbar:
Book: :Maqtal-e-Ishq:
Noha Khowan: :Asghar Khan:
Noha Volume: :Asghar Khan 2015-16:
Composition: :Asghar Khan:
#IkDinMein
#NohayLyrics
#tajpoint