Jab Uthata Hoon Qalam Aal-e-Abba Ke Waste Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جب اُٹھاتا ہوں قلم آلِ عباؑ کے واسطے
Lafz Par Jate Hain Kab Unn Ki Sana Ke Waste.
Sheh Ke Gham Mein Khoon Bahane Ko Khata Kehte Ho Tum.
Waqf Meri Zindagi Hai Iss Khata Ke Waste.
Kya Zarorat Hai Mere Asghar Ko Taig-o-Teer Ki.
Ik Tabasum Hi Hai Kafi Hurmala Ke Waste.
Iss Mein Aks-e-Pak Abbas Dilawar Aa Giya.
Kya Sharf Kam Hai Yeh Nehar-e-Alqama Ke Waste?
Jis Qadar Mumkin Ho, Ho Jao Gham-e-Sheh Ke Qareeb.
Yeh Amal Akseer Hai Qarab-e-Khuda Ke Waste.
Bugz-e-Haider Mar Ke Bhi Jata Nahi Dil Se Kabhi.
Keh Dawa Koi Nahi Hai Iss Waba Ke Waste.
Chahte Ho Gar Jeo Mehshar Talak :RAQIB:, Tu Phir.
Midhat-e-Haider Karo Apni Baqa Ke Waste.
Poet: :Raqib Hassnain Raqib:
Book: :Hussain Ke Dar Se:
#JabUthataHoonQalam
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com