Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Dekhte Hain Lyrics In Urdu 2017
Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Dekhte Hain.
Khiyabaan Khiyabaan Iram Dekhte Hain.
Dil Aashuftgaan Khaal-e-Kunj-e-Dahan Ke.
Soyada Mein Sayar-e-Adam Dekhte Hain.
Tere Sarw-e-Qamat Se Ik Qid Aadam.
Qiyamat Ke Fitne Ko Kam Dekhte Hain.
Tamasha Keh Aye Mehv-e-Ayna Dari!
Tujhe Kis Tamana Se Hum Dekhte Hain.
Sorag-e-Taf-e-Nalah Lay Dag-e-Dil Se.
Keh shab Ro Ka Naqsh-e-Qadam Dekhte Hain.
Bana Kar Faqiron Ka Hum Behais :GHALIB:.
Tamashaye Ahl-e-Karam Dekhte Hain.
Poet: :Mirza Asadullah Khan Ghalib:
#JahanTeraNaqsheQadam
#GhazalLyrics
#tajpoint
