Jashan-e-Zahoor Janab-e-Syeda Fatima Zahra Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جشنِ ظہور جنابِ سیّدہ فاطمہ زہراؑ
Sad Tehniyat Hai Aamad Khair-ul-Nisa Ka Jashan.
Dil Mein Mawaliyon Ke Hai Husan-e-Wila Ka Jashan.
Horein Paro Ke Layi Hain Gajray Darood Ke.
Ghar Mein Nabi Ke Aaj Hai Sal-e-Ala Ka Jashan.
Horein Behishti Aake Paye Tehniyat Tamam.
Karti Hain Jhuk Ke Madar-e-Zahra Ko Salam.
Hain Arsh Jaisi Sehan Khadija Ki Ronkein.
Bait Sharf Mein Hain Mai-o-Akhtar Youn Khush Kharam.
Mastoor-e-Kainaat Hain Mamnoon Fatima.
Sharm-o-Haya Jahan Mein Hai Marhoon Fatima.
Itrat Hai Inn Ki sarwar-o-Sardar Do Jahan.
Yaktay-e-Dahar Hain Dar-e-Maknoon Fatima.
Hain Aysi Tahira Keh Taharat Nisar Hai.
Sadiqa zaman Peh Sadaqat Nisar Hai.
Faizan Inn Ke Dar Ka Khuda Ki Sabee Khas.
Mojaz Numa Wo Hain Keh Karamat Nisar Hai.
Jo Bhi Muradein Dill Mein Hain Sab Aaj Mang Lein.
Hai Jiss Tarha Ki Jin Ko Talab Aaj Mang Lein.
Khali Dar-e-Batool Se Koi Nahi Giya.
Be Imteyaz Naam-o-Nasab Aaj Mang Lein.
Poet: :Khalique Hussain Mumtaz Sialkot:
Book: :Taqleed-e-Mowadat:
#BibiFatimaZahra
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com