ٹ کریں -->

Makan-e-Hasat Koi La-Makaan Sanwarta Hai Lyrics In Urdu 2017

Makan-e-Hasat Koi La-Makaan Sanwarta Hai Lyrics In Urdu 2017

Makan-e-Hasat Koi La-Makaan Sanwarta Hai.
Yeh Kahk Woh Hai Jise Aasmaan Sanwarta Hai.

Hamare Sath Ajab Haim Moamle Oss Ke.
Yahan Bigar Ke Rakhta Wahan Sanwarta Hai.

-->

Koi Bhi Kaam Saleeqe Se Kab Kiya Hum Ne.
Hamare Kaam Koi Na-Gihaan Sanwarta Hai.

Nishate-e-Shola Hai Ik Aani Jani Kaifiyat.
Cherag-e-Ishq Ko Oss Ka Dhuwaan Sanwarta Hai.

Yeh Husan-e-Reekhta Hargiz Nahi Hamara Kamal.
Yeh Rang Silsila-e-Raftgaan Sanwarta Hai.

Jiger Ke Khoon Se Hai Mashatagi-e-Harf-o-Biaan.
Keh Zulf Shair Lahu Ka Ziyaan Sanwarta Hai.

Hamare Seene Ko Tamga Hai Dag-e-Wehshat-e-Ishq.
Yeh Daag Woh Hai Jo Naam-o-Nishaan Sanwarta Hai.

Bohat Ujaar Thi Maqtal Ki Sar Zameen Magar.
Isse Dobara Koi Nojawaan Sanwarta Hai.

Osse Khabar Hai Keh Mushkil Pasand Hai Yeh :FAQEER:.
WOh Janta Hai Isse Imtehaan Sanwarta Hai.

Poet: :Faqeer Arif Imam:

#MakaneHasat
#GhazalLyrics
#tajpoint

Makan-e-Hasat Koi La-Makaan Sanwarta Hai Lyrics In Urdu 2017 Write Up Poster Image

Makan-e-Hasat Koi La-Makaan Sanwarta Hai Lyrics In Urdu 2017

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!