Midhat-e-Shabir Tera Shukriya Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2007
Midhat-e-Shabir Tera Shukriya.
Katib-e-Taqdeer Tera Shukriya.
Yaad Akbar Ki Dila Deta Hai Tu.
Nara-e-Takbeer Tera Shukriya.
Mere Ghar Aate Hain Masoomeen Bhi.
Majlis-e-Shabir Tera Shukriya.
Mushkilon Mein Muskurana Aa Giya.
Asghar-e-Besheer Tera Shukriya.
Tere Dam Se Hai Sadaye Ya Hussain.
Zainab-e-Dilgeer Tera Shukriya.
Aaj Bhi Kabay Se Aati Hai Sada.
Sajdah-e-Shabir Tera Shukriya.
Rizq Milta Hai Humein Tere Tufail.
Dast-e-Khaibar Geer Tera Shukriya.
Ban Giya Turbat Mein Mahool-e-Kisa.
Madar-e-Shabir Tera Shukriya.
karbala Hai :SIBT-E-JAFAR: Ka Watan.
Khuld Ki Jageer Tera Shukriya.
Poet: :Ustad Sibt-e-Jafar:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2007-08:
#MidhateShabir
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Midhat-e-Shabir Tera Shukriya Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2007 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
