Hussain Se Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
شعور و فکر مِیں تابندگی حُسینؑ سے ہے
Shaor-o-Fikar Mein Tabandagi Hussain Se Hai.
Khud Aa Gahi Ne Kaha Aa Gahi Hussain Se Hai.
Jahan Bhar Ke Andhere Sabhi Yazeed Se Hain.
Har Ik Ujalay Ki Wabastagi Hussain Se Hai.
Gham-e-Hussain Ke Aanso Bhi Hain Atta Karda.
Yeh Meri Aankh Mein Sari Nami Hussain Se Hai.
Woh Sar Na Deta Tu Khaliq Ka Naam Leta Koan?
Tu Phir Yeh Tey Howa ALLAH Bhi Hussain Se Hai.
Bajiz Khuda Ke Kissi Ko Na Manne Wale.
Tere Labon Pe Yeh Naam-e-Jali Hussain Se Hai.
Meri Nijat Ke Zamin Hai Mustafa Mula.
Woh Iss Liye Keh Meri Aashqui Hussain Se Hai.
Unhi Ke Izan Se Main Ja Raha Hoon Karb-o-Bala.
Dar-e-Hussain Pe Yeh Hazri Hussain Se Hai.
WOh Jis Ki Baat Khuda Taal Hi Nahi Sakta.
Haan Mujh Haqeer Ki Nisbat Ossi Hussain Se Hai.
Tere Hi Qadmo Mein Aa Jaye Maut :RAQIB: Ko.
Yeh Iltija Meri Ab Aakhri Hussain Se Hai.
Poet: :Raqib Hassnain Raqib:
Book: :Hussain Ke Dar Se:
#HussainSeHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com