Jang-e-Khybar 1-4 Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2013
Jang-e-Khybar 1-4
Suno Suno Suno Suno Khybar Ka Majrah Suno.
Khybar Ki Karzaar Ka Manzar Sunata Hoon.
Jibreel Sath Do Mera Khybar Sunata Hoon.
Khyber Ki Jang Ab Bhi Hai Dunya Mein Yadgar.
Chalees Din Taveel Hoi Hai Yeh Karzaar.
Khudsakhta Rasool Ke The Jitne Janisar.
Maidan Choor Choor Ke Hote Rahe Farar.
Lashkar Mein Muslimo Ke Ajab Inteshar Tha.
Har Aik Ke Dimag Pe Marhab Sawar Tha.
Hansti Thi Maut Dekh Ke Har Rooz Marika.
Masroof Bhag Door Mein The Sare Soorma.
Woh Jang Thi Keh Jang Bhi Sharmaye Barha.
Chalees Din Mein Aik Bhi Zakhmi Nahi Howa.
Marhab Jo Pochta Tha Laro Gaye Abhi Yahin.
Taigein Chupa Ke Kehte The Sare Nahin Nahin.
Lashkar Ki Abtari Pe Yeh Kehne Lage Nabi.
Ghabrao Mat Larai Ki Yeh Shab Hai Aakhri.
Ab Kal Jo Mard Ho Ga Alam Paye Ga Woh Hi.
Dar Pardah Tha Nabi Ke Labon Par Ali Ali.
Yani Alam Alif Se Yeh Lashkar Uthaye Ga.
Jo Ain Se Alam Hai WOh Haider Uthaye Ga.
Mazi Se Apna Peecha Churate Hain Kis Liye.
Apna Hadaf Alam Ko Banate Hain Kis Liye.
Panjay Ki Samt Ungli Uthate Hain Kis Liye.
Ab Samjhe Hum Alam Woh Jalate Hain Kis Liye.
Unn Ke Baron Ko Haq Se Yeh Mansab Mila Nahin.
Khybar Ka Zakhm Hai Jo Abhi Tak Bhara Nahin.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2013-14:
#JangeKhybar
#ManqabatLyrics
#tajpoint