Teri Ummat Ke Zewar Pehan Kar Mir Hasan Lyrics 2017
Teri Ummat Ke Zewar Pehan Kar Mir Hasan Mir.
Teri Ummat Ke Zewar Pehan Kar Dekho Nana Chali Hoon Main Sham.
Sham Ka Bazar Kuja Abid-e-Bimar Kuja Zainab-e-Dilgeer Kuja Majma-e-Agyar Kuja.
Teri Ummat Ke Zewar Pehan Kar Dekho Nana Chali Hoon Main Sham.
Main Deti Kafan Tujh Ko Bhaiya Gar Sar Pe Rida Mere Hoti.
Gar Hote Khule Hath Mere Tere Zakhmo Ko Hathon Se Dhoti.
Paband-e-Rasan Sar Barehna Dekho Bhaiya Chali Hoon Main Sham.
Jis Zainab Ko Tum Ne Baradar Kabhi Nazrein Utha Kar Na Dekha.
Hath Rasi Se Mere Bandhe Hain Our Sar Par Nahi Mere Parda.
Kaise Kofe Mein Jaon Gi Ghazi Jab Balway Mein Aye Ga Naa.
Jaise Darbar Paas Aa Raha Hai Mera Dill Dobta Ja Raha Hai.
Han Main Tu Ghar Mein Bhi Kam Bolti Thi Bhai Tum Ko Tu Sab Kuch Pata Hai.
Kis Tarha Se Kare Gi Bata De Ik Sharabi Se Zainab Kalam.
Dill Yeh Kehta Hai Ro Ro Ke Bhaiya Kash Abbas Mojod Hota.
Kat Deta Woh Oss Ki Zubaan Ko Koi Baghi Agar Mujh Ko Kehta.
Dekhti Phir Main Kis Tarha Leta Koi Zainab Ka Majme Mein Naam.
Keh Rahe Hain Yeh Hans Hans Ke Shami Aane Wale Hain Darbar Baghi.
Jis Ne Ajdad Mare Hamare Aa Rahi Hai Yahan Oss Ki Beti.
Kholta Pani Phainko Chatoon Se Pathron Ka Karo Intezam.
Haye Nana Main Kaise Sunaon Darbar-e-Shaqi Ka Woh Manzar.
Sab Qari-o-Hafiz The Bethe Our Sar Pe Mere Na Thi Chadar.
Haye Nana Teri Betiyon Ko Kyun Laye Hain Sar Nangay Aam
Tere Abid Pe Tari Ghashi Thi Our Kulsoom Sehmi Khari Thi.
Kahbi Dekhon Main Zakhmi Sakina Jis Ke Daman Mein Aag Lagi Thi.
Kabhi Roaon Main Apni Rida Ko Kabhi Dekhon Main Jalte Khaiyaam.
Tere Bachoon Ko Le Kar Gayi Main Shab Bhar Sari Roti Rahi Hoon.
Kabhi Ghazi Ka Lehja Badal Ke Main Pehre Bhi Deti Rahi Hoon.
Inn Bewah Baho Betiyoon Se Kyun Karte Nahi Ho Kalam.
Jab Roti Thi Bali Sakina Our Baba Ko Apne Bulati.
Main Deti Thi Oss Ko Tasali Our Seene Pe Apne Sulati.
Rothi Zindaan Mein Masoom Bachi Le Le Ke Woh Baba Ka Naam.
Azafi Ashar: :Mir Sajjad Mir:
Noha Khowan: :Rizvia Party:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2017-18:
#SafarPhophiyaanDiPeshi
#NohayLyrics
#tajpoint