Kya Dhond Rahi Hai Jangal Mein Sakina Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کیا ڈھونڈ رہی ہے جنگل مِیں سکینہؑ
Abbas Ke Bazo Ya Baba Ka Seena.
Kano Se Chine Gohar Our Aag Thi Daman Mein.
Ghabrai Hoi Bachi Yeh Kehti Rahi Ran Mein.
Hai Koi Jo Mujh Ko Pohancha De Madina.
Kehti Thi Keh Asghar Ko Le Aao Mere Baba.
Soona Nazar Aata Hai Bhai Ka Mere Jhola.
Asghar Ke Beghair Ab Mujh Ko Nahi Jeena.
Zad Par Hai Mazalim Ki Yeh Phool Se Masooma.
Maqtal Se Kahan Jaye Shabir Ki Mazlooma.
Woh Duroon Ka Khana Woh Ashk Ka Peena.
Mushkil Mein Ghiri Haye Aulad-e-Nabi Kaisi.
Iss Dasht-e-Mosibat Mein Hai Tishna Labi Kaisi.
Aaya Nahi Ab Tak Saqa-e-Sakina.
Kehti Thi Sidhare Hain Bhai Jo Mere Pyase.
Jab Tak Nahi Lautein Gaye Ammo Mere Darya Se.
Main Ne Aye Phophi Jaan Pani Nahi Peena.
Yeh Sham Ke Zindaan Mein Dewaroon Ko Takti Hai.
Kya Soch Ke Yeh Jane Din Raat Sisakti Hai.
Bichari Hai Chacha Se Jab Se Yeh Hazeena.
Woh Waqt-e-Judai Woh Aulad Ki Majbori.
Sarwar Se Sakina Ki Ab Tak Na Miti Dori.
Maqtal Mein Angothi Hai Zindaan Mein Nagina.
Pohanche Jo Sheh-e-Wala Bete Ki Sada Sun Kar.
Dekha Ke Ragarte Hain Airi Ko Jawan Akbar.
Naize Ki Anni Hai Our Bete Ka Seena.
Ahamd Ke Nawasay Ko Mara Hai Muharam Mein.
Chalees Baras Roye Sajjad Issi Gham Mein.
Tareekh Pukari Hai Gham Ka Mahina.
Masroof-e-Ibadat Ho Tum Sham-o-Sahar :MESUM:.
Kehte Hain Yehi Ro Ke Din Raat :ZAFAR MESUM:.
Aye Nazar-e-Sakina Ashkoon Ka Khazeena.
Hoon Gaye Sar-e-Mehshar Bhi Onche Youn Hi Sar Apne.
Marqad Ko Ujalon Se Bhar Deingay :ZAFAR: Apne.
Rakhte Hain Lahad Mein Hum Ashkoon Ka Khazeena.
Poet: :Zafar Abbas Zafar:
NohaKhowan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2010-11:
#JangalMeinSakina
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com