Ali Ki Dosri Tasveer Ko Abbas Kehte Hain Lyrics 2008
Ali Ki Dosri Tasveer Ko Abbas Kehte Hain.
Dua-e-Madar-e-Shabir Ko Abbas Kehte Hain.
Wafadaron Ki Dunya Mein Wafadari Yeh Kehti Hai.
Ossi Dast-e-Bureeda Ki Qalamkari Yeh Kehti Hai.
Wafa Ke Katib-e-Taqdeer Ko Abbas Kehte Hain.
Faqat Teer-e-Tabasum Se Ulat Kar Rakh Diya Lashkar.
Qaza Ne Hath Jorey Samne Bache Ke Yeh Keh Kar.
Jihad-e-Asghar-e-Be-Sheer Ko Abbas Kehte Hain.
Woh Waris Deen-e-Ahmad Ke Shujat Inka Wirsa Hai.
Agar Quran Hain Shabir Yeh Nehj-e-Balaga Hai.
Ali Ke Hath Ki Tehreer Ko Abbas Kehte Hain.
Jahan Ki Zulmatein Zainab Ki Janib Aaein Gi Kaise.
Nigahein Ghair Mehram Ki Wahan Tak Jaein Gi Kaise.
Hisar-e-Chadar-e-Tatheer Ko Abbas Kehte Hain.
Itaat,Sabar,Aysaar-o-Muhabbat, Ishq Salari.
Karam,Mashk-o-Alam, Tashna Labi, Darya, Wafadari.
Inhi Aayat Ki Tafseer Ko Abbas Kehte Hain.
Abu Talib Ke Betay Ne Namazoon Mein Jise Manga.
Janab-e-Fatima Zahra Ne Jiss Ko Keh Diya Beta.
Hum Aise Sahib-e-Tauqeer Ko Abbas Kehte Hain.
Bina Talwar Ke Takht-e-Yazeedi Kar Diya Takhta.
Parhe Tareekh Ke Auraq Tu Yeh Khul Giya Uqda.
Kahein Sajjad Ki Taqreer Ko Abbas Kehte Hain.
Karam Jis Ka :TAKALLUM: Hai Mere Likhne Likhane Mein.
Woh Jiss Ke Noor Ki Hai Roshni Sare Zamane Mein.
Ossi Ke Noor Ki Tanveer Ko Abbas Kehte Hain.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2008-09:
#AbbasKehteHain
#ManqabatLyrics
#tajpoint