Ali Imam Man-Asto Manam Ghulam-e-Ali Lyrics Urdu 2006

Ali Imam Man-Asto Manam Ghulam-e-Ali Lyrics Urdu 2006

Ali Imam Man-Asto Manam Ghulam-e-Ali.

Hazar Jan-e-Girami Fida-e-Nam-e-Ali.

Zameen Ali Ke Qadam Se Lipat Ke Kehti Hai.
Jidar-e-Khana-e-Mabood Hat Ke Kehti Hai.
Abu-Zari Bhi Zamane Se Dat Ke Kethti Hai.
Zaban-e-Meesum-e-Tamar Kat Ke Kehti Hai.

Ali Ka Naam Jo Mere Kafan Pe Likha Tha.
Andheri Qabar Mein Meri Ujala Phail Giya.
Khuda Gawah Farishton Ne Kuch Nahi Pocha.
Lehad Mein Jhoom Ke Main Ne Jo Aik Bar Kaha.

Ali Ka Jah-o-Hasham Iss Tarha Nazar Aaya.
Falak Nasheen Bhaal Kab Kisi Ke Ghar Aaya.
Pasand Iss Ko Zameen Par Bas Aik Dar Aaya.
Sitarah Arsh Se Kehta Howa Utar Aaya.

Hata Sakay Gi Na Dunya Ali Ke Raste Se.
Ahad Hamara Hai Ik Ik Laho Ke Qatre Se.
Daray Hain Hum Na Darein Gaye Kisi Ke Fatway Se.
Sada Yeh Aati Hai Har Matmi Ke Seene Se.

Jahan Mein Saray Saharon Ka Yeh Sahara Hai.
Yeh Zaat-e-Khaliq-e-Akbar ka Istearah Hai.
Ali Safina-e-Islam Ka Kinara Hai.
Har Aik Wali Ne Nabi Ne Yehi Pukara Hai.

Issi Liye Tu Mera Ghar Bhi Misal-e-Janat Hai.
Ali Ali Meri Adat Nahi Hai Fitrat Hai.
Ali Ka Zikar Mere Khon Ki Taharat Hai.
:WAJHI: Our :TAKALLUM: Ke Lab Ki Zeenat Hai.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khowan: :Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Wajhi Hasan Zaidi 2006-07:

#AliImamManAstoManamGhulameAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Ali Imam Man-Asto Manam Ghulam-e-Ali Lyrics Urdu 2006 Write Up Poster Image

Ali Imam Man-Asto Manam Ghulam-e-Ali Lyrics Urdu 2006

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!