Hayya Alal Ghadeer Lyrics In Urdu Joan Rizvi 2018

Hayya Alal Ghadeer Lyrics In Urdu Joan Rizvi 2018

Hayya Alal Ghadeer.

Takhleeq-e-Kainat Ke Pal Se Ghadeer Tak.
Awaz-e-Kun Fakaan Ke Mehal Se Ghadeer Tak.
Kya Kya Na Dekhe Waqt Ne Jalse Ghadeer Tak.
Aisa Magar Na Dekha Azal Se Ghadeer Tak.
Sehra-e-Khum Mein Arsh Ke Sare Makeen Hai Aaj.
Lagta Hai Aasman Ke Uper Zameen Hai Aaj.

Tha Qafila Safar Mein Dua-e-Khalil Ka.
Baqi Tha Aham Kam Abhi Jibraeel Ka.
Kamil Na Tha Taruf Elahi Sabeel Ka.
Paigham Na Tamam Tha Rab-e-Jaleel Ka.
Aakhir Nabi Ko Aayat-e-Masood Mil Gayi.
Ahl-e-Wila Ko Manzil-e-Maqsood Mil Gayi.

Bole Nabi Keh Ain-e-Faeelat Ka Waqt Hai.
Nafs-e-Khuda Ke Dar Pe Ibadat Ka Waqt Hai.
Wajh-e-Khuda Ke Rukh Ke Ziyarat Ka Waqt Hai.
Dast-e-Khuda Ke Hath Pe Bait Ka Waqt Hai.
Jaldi Karo Keh Aaj Yeh Mohlat Tamam Hai.
Warna Tumhari Kal Se Ibadat Haram Hai.

Main Mustafa Hoon Our Meri Tasveer Hai Ali.
Main Kitab-e-Haq Meri Tafseer Hai Ali.
Main Paikar-e-Dua Meri Taseer Hai Ali.
Main Deen Ki Sipar Meri Shamsheer Hai Ali.
Saya Hoon Main Ali Ka Ali Mera Saya Hai.
La Sheh Se Lashareek Ne Hum Ko Banaya Hai.

Har Fail Har Amal Mein Mera Razdaan Ali.
Har Gaam Har Qadam Pe Mera Pasbaan Ali.
Mairaj Ke Safar Mein Mera Saibaan Ali.
Main Mehmaan Tha Rab Ka Magar Mezbaan Ali.
Apni Kabhi Zabaan Kabhi Chehra Bana Liya.
Rab Ne Bhi Murtaza Ko Waseela Bana Liya.

Deen-e-Khuda Itaat-e-Haider Ka Naam Hai.
Soom-o-Salaat Seerat-e-Haider Ka Naam Hai.
Eman Kya Hai Ulfat-e-Haider Ka Naam Hai.
Quran Kya Hai Midhat-e-Haider Ka Naam Hai.
Mera Nahi Biyan Yeh Rab-e-Jali Ka Hai.
Malon Hai Woh Shakhs Jo Munkir Ali Ka Hai.

Sun Lo Keh Kainat Ka Qibla Hai Murtaza.
Yeh Jan Lo Keh Kabe Ka Kaba Hai Murtaza.
Pehchan Lo Keh Haq Ka Ujala Hai Murtaza.
Meri Tarha Har Aik Ka Mula Hai Murtaza.
Munkir Ali Ke Kalma-e-Tauheed Choor De.
Rehman Se Bhi Reham Ki Umeed Choor De.

Aaya Nazar Jo Dushman-e-Kaba Ghadeer Mein.
ALLAH Ne Nibah Diya Wada Ghadeer Mein.
Pathar Tha Our Sar Tha Addo Ka Ghadeer Mein.
Goya Utara Feel Ka Sorah Ghadeer Mein.
Ik Abar Haye Waqt Tha Sangsar Kar Diya.
Munkir Ghadeer-e-Khum Ka Tha Finnar Kar Diya.

Poet: :Syed Abu Turab:
Manqabat Khuwan: :Joan Rizvi:
Eid-e-Ghadeer Manqabat 2018

#HayyaAlalGhadeer
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Hayya Alal Ghadeer Joan Rizvi Manqabat

Hayya Alal Ghadeer Lyrics In Urdu Joan Rizvi 2018 Write Up Poster Image

Hayya Alal Ghadeer Lyrics In Urdu Joan Rizvi 2018

Video Link

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!