Ooncha Rahay Apna Alam – Khasosi Kalam – Sachay Bahi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اونچا رہے اپنا عَلم
Jab Tak Hai Door-e-Aasmaan.
Sun Le Yeh Har Peer-o-Jawaan.
Aawaz Par Shabir Ki Barhta Rahe Yeh Karwaan.
Rukne Na Paein Yeh Qadam.
Har Qalab Par Chate Chalo.
Dunya Ko Batlate Chalo.
Ik Ik Mohaz-e-Zulm Ki Tasveer Dikhlate Chalo.
Har Dil Mein Bhar Do Sheh Ka Gham.
Kab Tak Na Mane Ga Koi.
Woh Waqt Aaye Ga Kabhi.
Har Qalb Par Cha Jaye Ga Apna Hussain Ibn-e-Ali.
Iss Dar Pe Har Sar Ho Ga Kham.
Har Darood Our Har Salam Madar-e-Hussain Tere Naam.
Zoja-e-Ali Sar Buland Fatima Azeem Arjumand.
Jis Ke Aastan-e-Pak Ke.
Qudsiyaan-e-Arsh Hain Ghulam.
Haan Woh Fatima Woh Fatima.
Aarzo-e-Qalb-e-Mustafa.
Jis Ke Ladle Hasan Hussain.
Jis Ki Betiyaan Falak Muqam.
Yeh Matam Sada Rahe Our Iss Se Siwa Rahe.
Yeh Farsh-e-Aza-e-Sibt-e-Nabi Ta Mehshar Bicha Rahe.
Kitni Hi Uthe Zulmat Ki Ghata.
Ho Kitni Hi Tareek Fiza.
Bujhne Nahi Paye Sham-e-Azza.
Kitne Hi Uthein Tofaan Magar Roshan Yeh Diya Rahe.
Ik Nasal Hatay Ik Nasal Barhe.
Ik Shama Bhuje Ik Shama Jalay.
Shabir Ka Matam Hota Rahe.
Naslan Bad-e-Nasal Younhi Jari Silsila Rahe.
Khasosi Kalam: :Ali Muhammad Rizvi Sachay Bhai:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2013-14:
#OonchaRahayApnaAlam
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com