Habib Aa Jao Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2018
Habib Aa Jao Mir Hasan Mir.
Yeh Khat Mein Shah Ne Likha Habib Aa Jao.
Tumhara Dost Hai Tanha Habib Aa Jao.
Shaheed Kaise Howa Woh Batao Gaye Aa Kar.
Tum Haal-e-Muslim-e-Bekas Sunao Gaye Aa Kar.
Ruqaiya Takti Hai Rasta Habib Aa Jao.
Lagao Iss Se Bhi Andazay Meri Ghurbat Ke.
Jahan Pe Ibn-e-Ali Likhna Tha Wahan Main Ne.
Diya Hai Maa Ka Hawala Habib Aa Jao.
Bata Raha Tha Osse Koi Bhi Nahi Hai Mera.
Tu Bolin Sani-e-Zahra Habib Aaye Ga.
Hai Oss Ko Tum Pe Bharosa Habib Aa Jao.
Woh Jab Yeh Sunti Hai Kofay Se Aa Rahe Hain Shaqi.
Tu Pochti Hai Hamara Bhi Aaye Ga Koi.
Duaein De Gi Sakina Habib Aa Jao.
Gawara Kar Nahi Sakti Hussain Ki Ghirat.
Tumhari Zoja Ki Chadar Loot Le Ummat.
Tum Oss Ko Choor Ke Kofa Habib Aa Jao.
Mujhe Hai Yaad Woh Lamha Jo Rab Ki Marzi Se.
Tum Ho Ke Zinda Meri Baat Sunne Aaye The.
Bula Raha Hoon Dobara Habib Aa Jao.
Dar-e-Batool Dobara Jalaya Jaye Ga.
Tumhare Dost Pe Khanjar Chalaya Jaye Ga.
Nahi Hai Waqt Zyada Habib Aa Jao.
Chamakte Chand Ki Hum Ko Bhi Deed Ho Jaye.
Tum Aao Tu Mere Bachoon Mein Eid Ho Jaye.
Bohat Udas Hai Kunba Habib Aa Jao.
Yeh Khat Nahi Isse Behno Ki Aarzu Samjho.
Hamare Lafzon Ko Zainab Ki Guftgu Samjho.
Behan Yeh Kehti Hai Bhaiya Habib Aa Jao.
Behan Ne Oss Ko :TAKALLUM: Jo Bhai Samjha Tha.
Pukari Sham-e-Gharebaan Mein Sani-e-Zhara.
Hamara Lutta Hai Parda Habib Aa Jao.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2018-19:
#WasiyateBibiFatimaZahra
#NohayLyrics
#tajpoint