Neelay Rukhsar Thay Kya Dadi Ke Lyrics In Urdu and Roman Urdu
نیلے رُخسار تھے کیا دادی کے
Janib-e-Naiza Nazar Kar Ke Basad Ranj-o-Malal.
Sar-e-Shabir Se Kartin Thin Sakina Yeh Sawal.
Neelay Rukhsar Thay Kya Dadi Ke.
Kyun Mujhe Kehte Hain Baba Yeh Sitamgar Zahra.
Ro Nahi Payi Thi Kya Apne Padar Ko Woh Bhi.
Baliyaan Kano Se Kya Cheeni Gayin Thin Unki.
Surkh Tha Khon Se Kya Unka Bhi Kurta Baba.
Pasliyan Toti Thin Dadi Ki Kamar Mein Kham Tha.
Shidat-e-Gham Ne Yahan Tora Hai Pehlu Mera.
Kya Kya Kartin Thin Meri Tarha Woh Bhi Noha.
Pusht-e-Naqa Se Giraya Gaya Raste Mein Mujhe.
Kya Sitam Yeh Bhi Uthaya Tha Meri Dadi Ne.
Kya Unhein Bandha Gaya Tha Sar-e-Pusht-e-Naqa.
Main Badal Pati Nahi Karwatein Baba Dekho.
Dard Sone Nahi Deta Tha Unhein Raton Ko.
Raat Din Zakhmo Se Kya Unke Laho Rista Tha.
Dil Pe Woh Apne Uthati Rahin Har Pal Sadme.
Neelay Rukhsar The Meri Hi Tarha Dadi Ke.
Rukh Pe Kya Unn Ke Bhi Barse The Tamache Baba.
Aye :HILAL: Our :WAJHI: Gham Ka Ajab Tha Manzar.
Nook-e-Naiza Pe Laho Rota Tha Shabir Ka Sar.
Aa Ke Jab Karti Thin Maqtal Mein Sakina Giriya.
Poet: :Hilal Naqvi India:
Noha khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2018-19:
#NeelayRukhsarThayKyaDadiKe
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com