Aslam o Alai Ya Aba Abdillah Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Aslam o Alai Ya Aba Abdillah Lyrics In Urdu and Roman Urdu

السلام علیک یا ابا عبداللہ

Aye Hussain Ibn-e-Ali(AS) Tera Khoon Saarallah.
Syeda Khair-un-Nisa Aap Ki Hain Madar-e-Jaan.
Aap Ke Ghar Mein Howa Hai Yeh Nazool-e-Quraan.
Hai Teri Zaat Ka Sadqa Yeh Sabhi Kon-o-Makaan.
Kyun Na Har Sans Tere Naam Pe Ho Jaye Fida.
Khak Urti Thi Musibat Ki Sar-e-Karb-o-Bala.
Jis Ki Ghurbat Pe Ghareebi Bhi Rahi Mehway Buka.
Dam-e-Aakhir Bhi Jise Pani Muassar Na Howa.
Haye Sokhi Hoi Gardan Pe Chali Taig-e-Jafa.
Ashk-e-Gham Aankhon Se Ghurbat Mein Baha Kar Bole.
Apne Seene Se Sakina(SA) Ko Laga Kar Bole.
Khak Uratay Hoye Pardais Mein Sarwar(AS) Bole.
Main Chala Marne Ko Ab Tera Nigheban Khuda.
Aag Khaimo Mein Lage Gi Meri Pyari Dukhtar.
Baliyaan Kano Se Chin Jaye Gi Sar Se Chadar.
Jab Pas-e-Qatal Mere Dekho Gi Tum Yeh Manzar.
Yad Ghurbat Mein Bohat Aaein Gaye Tum Ko Baba.
Sar-e-Maidaan Juda Sheh Se Sakina(SA) Ho Gi.
Dekhna Sheh(AS) Ki Sawari Se Woh Lipati Ho Gi.
Aaj Kya Baba Ko Ran Mein Nahi Jane Do Gi.
Mere Seene Se Lago Dekh Lo Chehra Mera.
Ya-Bunaiya Ki Sada Dhondne Ko Jab Woh Chali.
Roti Roti Hoi Woh Jab Sar-e-Maqtal Pohanchi.
Darmiyaan Lashon Ke Kya Dekh Ke Boli Hogi.
Rakh Loon Ik Baar Main Sar Phir Nahi Milna Seena.
Le Ke Chulo Mein Nahi Peete Pani Abbas(AS).
Mujh Se Zyda Hai Sakina(SA) Ali Asghar(AS) Ki Pyas.
Main Hoon Saqa-e-Haram Mujh Se Bandhi Sab Ki Aas.
Mere Aaqa Ne Bhi Pani Kayi Din Se Na Piya.
Siskiyaan Sham-e-Musibat Mein :HASAN: Le Le Kar.
Sar Sakina(SA) Ne Rakha Baap Ka Jab Seene Par.
Boli Ghurbat Abhi Durron Ki Chubhan Barsa Kar.
Osko Lashay Se Hataeingay Abhi Ahl-e-Jafa.
Poet: :Sabeeh Hasan Zaidi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2018-19:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!