Suno Bad-e-Zahoor Kya Ho Ga 1-4 Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سُنو بعدِ ظہور کیا ہوگا بند 1تا4
Haal-e-Gham Sunaein Gaye Jab Imam Aaein Gaye.
Bam-o-Dar Sajaein Gaye Jab Imam Aaein Gaye.
Zakhm-e-Dil Dikhaein Gaye Jab Imam Aaein Gaye.
Mehfilein Jamaein Gaye Jab Imam Aaein Gaye.
Jashn Hum Manaein Gaye Jab Imam Aaein Gaye.
Poet: Ustad Sibt-e-Jafar Zaidi Shaheed.
Jo Mushkilein Hain Tu Mushkil Kusha Bhi Hai Koi.
Hazar Gham Hain Tu Gham Ki Dawa Bhi Hai Koi.
Jo Qafilay Hain Rawaan Rahnuma Bhi Hai Koi.
Khuda Agar Hai Tu Phir Na-Khuda Bhi Hai Koi.
Hai Dar-e-Dil Tu Koi Dil Ka Chain Bhi Ho Ga.
Yazeed Lakhon Hain Koi Hussain Bhi Ho Ga.
Abhi Tu Khon Ke Darya Bahaye Jaein Gaye.
Abhi Tu Zulm Ke Dhabay Mitaye Jaein Gaye.
Sitamgaron Ke Parakhche Uraye Jaein Gaye.
Abhi Tu Qabar Se Murday Uthaye Jaein Gaye.
Sawal Kar Chuki Zahra Jawab Lena Hai.
Fidak Ka Mehdi Ne Aa Kar Hisab Lena Hai.
Abhi Bhi Ishq Tarapta Hai Qatal Gahoon Mein.
Abhi Hayat Hai Qaidi Ajal Ki Banhoon Mein.
Abhi Andhera Hai Insan Ki Nigahon Mein.
Abhi Tu Qafila-e-Zindagi Hai Rahoon Mein.
Ali Ka Shair Abhi Sabar Ki Kachar Mein Hai.
Zamana Apne Muhammad Ke Intezar Mein Hai.
Yeh Keh Rahi Hai Gham-o-Ranj Ki Farawani.
Khabar Yeh Deti Hai Aqal-o-Khird Ki Hairani.
Bata Rahi Hai Yeh Zulm-o-Sitam Ki Tugyani.
Barasne Wala Hai Ab Zulfiqar Ka Pani.
Sitam Ki Maut Ka Saman Aane Wala Hai.
Safina Dhond Lo Tofan Aane Wala Hai.
Poet: :Payam Azmi:
Azafi Ishar: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2019-20:
Composition: :Raza Shah:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
Visit TAJPOINT :: Official Website :