Haider-E-Karrar-1 Lyrics In Urdu Nadeem Sarwar 2018
Haider-E-Karrar-1 Lyrics In Urdu
Ya Ali Maula Ali Ali Ali Ali.
Ya Ali Maula Ali Ali Ali Ali.
Ali Ali Maula Ali Ya Ali.
Jan-e-Chaman Tu Shereen Sukhan Tu.
Rab Ka Dahan Tu Shah-e-Zaman Tu.
Ali Ali Maula Ali Ya Ali.
Os Ki Dunya Ghulam Hoti Hai.
Jo Ali Ka Ghulam Hota Hai.
Rang Haider Ka Jis Pe Charh Jaye.
Os Ka Mar Kar Bhi Naam Hota Hai.
Ali Ali Maula Ali, Ali Maulana Ali.
Ali Ali Maula Ali, Ali Maulana Ali.
Maula Maula Maula Ali-un-Waliullah.
Maula Maula Maula Ali-un-Waliullah.
Sarkar Alamdar Do Alam Ka Madadgar Ali Haider-e-Karrar Ali Haider-e-Karrar.
Peeron Mein Mera Peer Zabardast Hai Sarkar Ali Haider-e-Karrar Ali Haider-e-Karrar.
Shahon Se Bhi Aala Hain Tere Dar Ke Gadagar.
Karte Hain Ghulami Teri Dunya Ke Sikandar.
Aala Hai Ameeron Se Faqeeron Ke Muqaddar.
Jannat Ke Hain Tajar Teri Dehleez Ke Naukar.
Nara-e-Haidery Maula Nara-e-Khaybari Maula.
Nara-e-Safdari Maula Nara-e-Qambari Maula.
Meesum Ne Lagaya Hai Yehi Narah Sar-e-Daar.
ALLAH Ka Anmool Jo Shahkar Bana Hai.
Islam Ka Aala Jo Alamdar Bana Hai.
Mushkil Mein Jo Nabiyon Ka Madadgar Bana Hai.
Woh Sare Imamo Ka Jo Sardar Bana Hai.
Kul-e-Eman Hai Mula, Deen Ki Shan Hai Maula.
Shah-e-Mardan Hai Maula, Shair-e-Yazdan Hai Maula.
Kehte Hain Nabi Apna Jisay Waris-e-Dastar.
Poet: :Jawad Jafri:
Poet: :Nadeem Sarwar:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2018-19: