Oss Par Hoi Yeh Khas Inayat Raza Ki Hai Lyrics 2019

Oss Par Hoi Yeh Khas Inayat Raza Ki Hai Lyrics 2019

Oss Par Hoi Yeh Khas Inayat Raza Ki Hai.

Ki Jis Ne Toos Ja Ke Zyarat Raza Ki Hai.

Kya Pochte Ho Mujhe Se Kya Azmat Raza Ki Hai.
Mashoor Do Jahan Mein Sakhawat Raza Ki Hai.

Aik Baar Ja Ke Choom Lo Chokhat Imam Ki.
Janat Mile Gi Tum Ko Basharat Raza Ki Hai.

Jana Ho Jab Bhi Qum Ki Muqadas Zameen Par.
Jo Mangna Ho Mango Zamanat Raza Ki Hai.

Tauheed Wale Baste Hain Iran Mein Har Ja.
Kyunkar Na Hoon Wahan Pe Hakomat Raza Ki Hai.

Zainab Ki Jis Tarha Se Thi Nisbat Hussain Se.
Masoom-e-Qum Se Wohi Nisbat Raza Ki Hai.

Ashiq Raza Ka Jo Bhi Namazoon Se Door Hai.
Har Ja Parhi Hai Main Ne Mazamat Raza Ki Hai.

Kyun Na Sajaein Mehfil-e-Mailad Momineen.
Kazim Ke Ghar Mein Aaj Wiladat Raza Ki Hai.

Iran Jao Jab Bhi Zawwaro Khiyal Ho.
Jana Hai Pehle Qum Yeh Nasihat Raza Ki Hai.

Kehdo Jahan Walon Se Hairaan Ho Kis Liye.
:AFRAZ:-o-:YOUSUFI: Pe Inayat Raza Ki Hai.

Poet: :Afraz Jafri:
Poet: :Zakir Hussain Yousufi:
#Manqabat #ImamRaza
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Oss Par Hoi Yeh Khas Inayat Raza Ki Hai Lyrics 2019 Write Up Poster Image

Oss Par Hoi Yeh Khas Inayat Raza Ki Hai Lyrics 2019

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!