Hussain Badshah Lyrics In Urdu 2020
Hussain Badshah Lyrics In Urdu
LaIlaha Ki Do Jahan Mein Aabro Shabeer Hai.
Dar Haqeeqat Deen-e-Haq Ki Aarzu Shabeer Hai.
Anbiya Bhi Roz-o-Shab Kartay Hain Tera Tazkira.
Sakinan-e-Arsh Ki Bhi Guftgu Shabeer Hai.
Tere Dam Se Aaj Tak Zindah Hai Deen-e-Kibriya.
Sheh Rag-e-Islam Mein Tera Lahu Shabeer Hai.
Sadiyon Pehle Dekha Tha Ik Khuwab Ibrahim Ne.
Oss Haqeeqi Khuwab Ki Tabeer Tu Shabeer Hai.
Zair-e-Khanjar Dekh Kar Sajdah Yeh Hatif Ne Kaha.
Haan Meri Tauheed Ki Bas Justaju Shabeer Hai.
Deen-e-Haq :SAJID: Haqeeqat Bas Inhi Ka Faiz Hai.
Hai Namaz-e-Ishq-e-Haider Our Wozu Shabeer Hai.
Poet: :Ch Yousuf Ali Sajid:
Noha Khuwan: :Zakir Bilawal Ali Hussaini:
Noha Volume: :Zakir Bilawal Ali Hussaini 2020-21:
#HussainBadshah
#NohayLyrics
#tajpoint
Hussain Badshah Lyrics In Urdu 2020 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
