Yeh Mah-e-Muharram Hai Lyrics In Urdu Ali Shanawar and Ali Jee 2009
Yeh Mah-e-Muharram Hai Lyrics In Urdu
Arz-e-Karbala Arz-e-Nainawa.
Yeh Mah-e-Muharram Hai Yeh Ayyam-e-Azza Hai.
Matam Yeh Muhammad Ke Nawasay Ka Bapa Hai.
Iss Mah Mein Looti Gayi Zahra Ki Kamai.
Talwar Muhammad Ke Nawasay Pe Chalai.
Iss Mah Mein Jibreel Se Noha Yeh Suna Hai.
Iss Mah-e-Muharram Ne Qayamat Yeh Dikhai.
Iss Chand Ne Sughra Ko Khabar Ja Ke Sunai.
Veeran Madina Hai Basi Karb-o-Bala Hai.
Iss Mah Mein Sadaat Ne Din Kaisay Guzarey.
Masoomo Ko Pani Na Mila Nehar Kinaray.
Kya Zulm Muhammad Ke Gharanay Ne Saha Hai.
Jab Chand Muharram Ka Nazar Aata Hai Hum Ko.
Sajta Hai Azakhana Tu Yaad Aata Hai Hum Ko.
Iss Chand Mein Khoon Aal-e-Muhammad Ka Baha Hai.
Ashor Ka Din Bhool Na Paye Ga Zamana.
Loota Gaya Oss Roz Muhammad Ka Gharana.
Oss Roz Se Dunya Mein Bichi Farsh-e-Azza Hai.
Kya Hoslay Maon Ke They Kya Shair They Bachay.
Woh Maqsad-e-Zahra Thi Yeh Haider Ke Iraday.
Inn Maon Se Bachoon Se Bani Khak-e-Shifa Hai.
Woh Aoun-o-Muhammad Ali Akbar Ali Asghar.
Woh Qasim-e-Noshah Woh Abbas Dilawar.
Maqtal Inhi Shehzadon Ke Zakhmo Se Saja Hai.
Hoon :SARWAR-o-REHAN: :SHANAWAR: Keh :ALI JEE:.
Hai Nokari Wirsay Mein Hussain Ibn-e-Ali Ki.
Aawaz-o-Qalam Dono Issi Dar Ki Atta Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Ali Shanawar and Ali Jee:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2008-09:
#YehMaheMuharramHai
#NohayLyrics
#tajpoint