Mufakhra – Mola Ali-o-Bibi Fatima Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Mufakhra – Mola Ali-o-Bibi Fatima Lyrics In Urdu and Roman Urdu

مفاخرہ۔ نور کی نور سے گفتگو نور کا فیصلہ

Bais Hai Yeh Kalam Khuda Ke Nazool Ka.
Logo Mufakhra Hai Ali-o-Batool Ka.
Ik Din Ali Se Kehne Lagin Pak Syeda.
Meri Fazeelatein Hain Ali Aap Se Sawa.
Main Hi Hoon Innama Ke Liye Dars Ki Jagah.
Main Hi Hoon Do Jahan Ki Batolon Ki Kibriya.
Main Do Jahan Mein Fakhar-e-Risalat Maab Hoon.
Rutbay Mein Kibriya Ki Main Pehli Kitab Hoon.
Haider Ne Pak Zahra Ki Sun Kar Fazeelatein.
Bola Khuda Ne Bakhshi Hain Mujh Ko Bhi Rifatein.
Main Hi Khuda Ke Hath Se Bantay Hoon Izatein.
Aflak Ki Hain Meri Kaf-e-Pa Mein Manzalein.
Yeh Arsh Mere Paon Ke Talwon Ki Dhool Hai.
Khaliq Ke Ghar Ke Sehan Mein Mera Nazool Hai.
Bolay Ali-o-Zahra Keh Yeh Mustafa Karein.
Chal Kar Nabi Ke Pas Yehi Iltija Karein.
Yani Hamari Baat Ka Woh Faisla Karein.
Kar-e-Khuda Hai Asal Mein Kar-e-Khuda Karein.
Apni Fazeelatein Unhein Chal Kar Sunatay Hain.
ALLAH Ke Habib Se Ab Dad Patay Hain.
Ja Kar Nabi Ke Pas Hoye Sar Ba Sar Khushu.
Sarwar Ko Rifatein Woh Sunana Hoye Shorow.
Zahra Ne Pak Baba Se Aisay Kiya Raju.
Our Phir Sabhi Moamla Mil Kar Kiya Talu.
Bolay Ali Keh Aap Khuda Ka Yaqeen Hain.
Darain Mein Bas Aap Hi Sadiq Amen Hain.
Kehne Lagein Yeh Fatima Aali Maqam Hoon.
Main Aasia-o-Hawa Ki Jag Mein Imam Hoon.
Main Hi Kalam-e-Haq Ka Jahan Mein Kalam Hoon.
Main Laiq-e-Darood Hoon Our Subha-o-Sham Hoon.
Arsh-e-Barin Tu Meri Hi Joti Ka Saya Hai.
Main Ne Khuda Ki Zaat Ko Zahir Karaya Hai.
Kehne Lagay Ali Mera Rutba Faraz Hai.
Yeh Ain Mera Ain-e-Elahi Ka Raaz Hai.
Our Lam Lam Yalid Ki Baqa Ka Jawaz Hai.
Yeh Ye Se Meri Zaat Hi Aadam Nawaz Hai.
Aali Janab Hoon Mera Aaqa Rasool Hai.
Rutba Bara Hai Mera Meri Kuf Batool Hai.
Fe Se Main Fakhar-e-Fatah-e-Badar-o-Hunain Hoon.
Haan Main Alif Se Umm-e-Abeeha Ki Zeen Hoon.
Yeh Meem Se Main Madar-e-Hasan-o-Hussain Hoon.
Our Fe Se Hal Atta Ki Main Hasti Pe Deen Hoon.
Main Hoon Sadaqaton Ka Jahan La Shareek Hoon.
Khaliq Ki Tarha Main Bhi Yahan La Shareek Hoon.
Sun Kar Tamam Baat Muhammad Ne Yeh Kaha.
Be Shak Hain Aap Dono Ke Rutbay Juda Juda.
Lekin Main Aik Baat Se Karta Hoon Faisla.
Tu Aliya Ki Maa Hai Yeh Abbas Ka Pata.
Be Shak Hain Tere Dar Pe Farishtay Jhukay Hoye.
Lekin Ali Ko Banday Hain Khaliq Kahey Hoye.
Jaisay Hai Aik Bagh Ko Har Ik Kali Azeez.
Noor-e-Khuda Ko Jaisay Hai Noor-e-Jali Azeez.
Bilkul Issi Tarha Hai Mujhe Yeh Wali Azeez.
Khaliq Ko Main Azeez Hoon Mujh Ko Ali Azeez.
Al-Hamd Aik Sorah-e-Kausar Bhi Aik Hai.
Gar Hai Batool Aik Tu Haider Bhi Aik Hai.
Poet: :Shahzaib Nasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Mudassir Mehdi:
Manqabat Volume: :Syed Mudassir Mehdi 2019-20:
Composition: :Abid Ali Kasuri:
#MufakhraMolaAlioBibiFatima
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!