Yun Fazail Tere Parday Ke Hain Andar Zehra Lyrics In Urdu and Roman Urdu
یوں فضائل تیرے پردے کے ہیں اندر زہراؑ
Kagaz Pe Pehle Sorah-e-Mariyam Ko Dam Karon.
Tab Fatima Ki Ismat-o-Iffat Raqam Karon.
Youn Fazail Tere Parday Ke Hain Andar Zahra.
Jaisay Kabay Pe Pari Rehti Hai Chadar Zahra.
Iss Se Barh Kar Tu Fazeelat Hi Nahi Hai Koi.
Ho Ke Khaton Ali Ke Hain Barabar Zahra.
Sar Pe Baba Ki Abba Hath Mein Baba Ka Assa.
Ban Ke Darbar Mein Aayi Hain Payamber Zahra.
Tum Jo Kehti Tu Madine Mein Bhi Aa Sakta Tha.
Aik Lamhey Mein Ababeelon Ka Lashkar Zahra.
Tum Tu Chalees Pe Hairan Ho Majlis Ki Qasam.
Aik Hi Waqt Mein Hain Lakhon Jagah Par Zahra.
Rook Le Aye Shab-e-Ashor Zara Apne Qadam.
Likhney Wali Hain Abhi Hur Ka Muqadar Zahra.
Yeh Zameen Ugalay Gi Ik Roz Khazana Apna.
Yani Aana Hai Tumhein Qabar Se Uth Kar Zahra.
Qabar-e-:REHAN: Pe Deta Hai :TAKALLUM: Yeh Sada.
Ab Hawalay Hai Tere Yeh Tera Nokar Zahra.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2020-21:
Composition: :Raza Shah – Mukhtar Hussain Fatehpuri:
#YunFazailTerePardayKeHainAndarZehra
#ManqabatLyrics
#tajpoint