Zikr e Hasan Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ذکرِ حسنؑ
Hasan Ke Zikar Mein Jab Zikar-e-Kirdgar Kiya.
Mere Khuda Ne Ossay Hamd Mein Shumar Kiya.
Khata Mein Iss Ko Nakerain Ne Shumar Kiya.
Hasan Ke Zikar Mein Jis Ne Bhi Ikhtesar Kiya.
Khuda Ka Shair Howa Apne Shair Par Nazaan.
Qalam Ki Chock Se Shabbar Ne Jab Shikar Kiya.
Palak Jhapaktay Hi Bad Bakht Ban Gaya Aurat.
Hasan Ne Lehja-e-Kun Aisa Ikhteyar Kiya.
Sakhi Hasan Ne Bulaya Jo Apne Pas Mujhe.
Mujhe Khud Apni Khataon Ne Sharmsar Kiya.
Hasan Ka Jhola Hi De Deta Oss Ko Par Lekin.
Hussain Ke Liye Fitrus Ne Intezar Kiya.
Yeh Lashay Marhab-o-Antar Bataein Gay Keh Unhein.
Hasan Ke Baba Ne Kis Tarha Do Se Chaar Kiya.
Nabi Ke Dein Ne Ali Se Hussain Tak Ka Safar.
Hasan Ke Naam Ki Tasbeeh Parh Ke Paar Kiya.
Hasan Hussain Alag Se Teri Khabar Lein Gay.
Agar Ali Ke Fazail Pe Shak Ka Waar Kiya.
Yeh Zulfiqar Se Itra Ke Keh Raha Tha Qalam.
Hasan Ne Mujh Pe Tere Hotey Aytbar Kiya.
Tabara Kartay Hain Khul Kar Hasan Ke Dushman Par.
Yeh Kam Naqd Ka Hai Hum Ne Kab Udhar Kiya.
Bicha Ke Farsh-e-Wila Hum Ne Aaj :MIR HASAN:.
Hasan Ke Jashan Mein Qayam Ka Intezar Kiya.
Poet: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2020-21:
Composition: :Mir Hasan Mir:
#ZikreHasan
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com