Haye Haider e Karrar Mukhtar Hussain Fatehpuri Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ہائے حیدرِ کرّارؑ
Zakhmi Howa Masjid Mein Payamber Ka Alamdar Haye Haider-e-Karrar.
Lo Chal Gayi Talwar Katney Lagi Dastar Haye Haider-e-Karrar.
Rangeen Hoi Mehrab Wilayat Ke Lahu Se.
Islam Ke Ghar Mein Chali Eman Pe Talwar Haye Haider-e-Karrar.
Beti Ne Kaha Baba Ki Ho Khair Aye Ya Rab.
Kyun Sar Se Giri Jati Hai Chadar Meri Har Bar Haye Haider-e-Karrar.
Amma Ke Janazay Ko Bhi Uthtey Hoye Dekha.
Ab Zainab-o-Kulsoom Hain Baba Ki Azadar Haye Haider-e-Karrar.
Yeh Chom Ke Kehte They Ali Bazu-e-Zainab.
Inn Bazuon Ko Rasiyon Se Bandhein Gay Agyar Haye Haider-e-Karrar.
Aaya Lab-e-Haider Pe Salam Aakhri Jis Dam.
Sar Peet Ke Kehne Lagay Maula Ke Sab Ansar Haye Haider-e-Karrar.
Ashor Ka Manzar Hai Nigahon Mein Ali Ki.
Abbas Ko Ro Ro Ke Banatay Hain Alamdar Haye Haider-e-Karrar.
Hasnain Ne Baba Ke Janazay Ko Uthaya.
Ik Arsh Ke Kandhey Pe Hai Ik Arsh Namu Daar Haye Haider-e-Karrar.
Masjid Mein Ali Taig Na Sajday Mein Jo Khatay.
Tauheed Na Youn Aati Nazar :MAJID:-o-:MUKHTAR: Haye Haider-e-Karrar.
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Noha Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Noha Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2020-21:
Composition: :Tanveer Khan:
#HayeHaidereKarrar
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com