Darya Se Koi Ja Kar Ghazi Ko Bula Laye Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu
دریا سے کوئی جا کر غازیؑ کو بُلا لائے
Aisa Na Ho Ghurbat Mein Ghar Zahra Ka Lut Jaye.
Ik Baap Zaeefi Ke Aalam Mein Akela Hai.
Our Shair Se Betay Ke Lashay Ko Uthana Hai.
Koi Tu Sahara De Lillah Koi Aaye.
Rukh Kar Ke Soye Darya Hathoon Se Kamar Thamay.
Akbar Ke Janazay Par Sheh Kehte They Ro Ro Ke.
Kiya Baat Hoi Ab Tak Abbas Nahi Aaye.
Hain Lakhon Addo Ran Mein Our Sibt-e-Nabi Tanha.
Zakhmi Hai Bohat Zakhmi Pyasa Hai Bohat Pyasa.
Mazloom Ki Gardan Par Shamsheer Na Chal Jaye.
Zainab Ka Jarri Bhai Mara Gaya Maqtal Mein.
Ghabrai Hoi Behna Insano Ke Jangal Mein.
Ik Aik Se Ro Ro Kar Yeh Kehti Rahi Haye.
Mazlomo Ke Khaimon Mein Ab Gham Ka Basera Hai.
Kal Tak Thi Jahan Ronaq Ab Gehra Andhera Hai.
Sham Aa Gayi Ghurbat Ki Tareek Hoye Saye.
Sadaat Ke Khaimon Ko Hain Ghairay Hoye Sholay.
Kehti Hai Nabi Zadi Ghabrai Hoi Ro Ke.
Ghar Lut Gaya Iss Ban Mein Chadar Bhi Na Chin Jaye.
Halat Hai Ajab :GOHAR: Masoom Sakina Ki.
Khoon Behta Hai Kano Se Lagtay Hain Tamachay Bhi.
Nazoon Mein Pali Bachi Ro Ro Ke Na Mar Jaye.
Poet: :Gohar Jarchvi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2002-03:
#GhaziKoBulaLaye
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com