Wawaila Haye Wa Waila Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2005

Wawaila Haye Wa Waila Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2005

Wawaila Haye Wa Waila Mir Hasan Mir.

Zahra Ka Yeh Noha Tha Mera Kunba Ujar Gaya.

Rukh Kar Ke Madine Ka Bano Sughra Ko Bulati Hai.
Akbar Ke Lahu Se Baloon Mein Maa Mehndi Lagati Hai.
Kuhram Tha Khaimay Mein Laila Ka Yeh Noha Tha.

Khud Kanptay Hathoon Se Sheh Ne Betay Ki Lehad Khodi.
Shabeer Ki Ghurbat Par Oss Dam Roti Thi Khudai Bhi.
Jab Khoon Bharay Kurtay Mein Asghar Ko Dafan Kiya.

Jo Shab Ko Bani Qasim Ki Dulhan Woh Subha Ko Bewah Hoi.
Hathoon Mein Rasan Tangney Ki Jagah Kubra Ke Bandhi Gayi.
Farwa Ne Kaha Ro Kar Pamal Howa Dulha.

Beemar Musafir Ke Dil Par Ik Taza Qayamat Thi.
Bazar Ke Rastay Mein Jis Dam Naqay Se Sakina Giri.
Syedaniyaan Roti Thin Kuhram Tha Ik Barpa.

Pehrey Pe Ali Ki Beti Hai Har Simt Andhera Hai.
Atharah Baradar They Jis Ke Woh Dasht Mein Tanha Hai.
Our Oss Pe Sitam Yeh Hai Baqi Na Raha Pardah.

Oss Khoon Bharay Manzar Ko Madar Bholay Gi Bhala Kaisay.
Betay Ko Juda Hotey Dekha Khud Apni Nigahon Se.
Khanjar Na Chala Zalim Kehti Hi Rahein Zahra.

Aye :MIR TAKALLUM: Yasrab Mein Mehshar Ka Sama Ho Ga.
Jab Haal Safar Ka Zainab Ne Sughra Se Kaha Ho Ga.
Sar Peet Ke Dukhiya Ne Yeh Noha Parha Ho Ga.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khowan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2004-05:

#WawailaHayeWaWaila
#NohayLyrics
#tajpoint

Wawaila Haye Wa Waila Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2005 Write Up Poster Image

Wawaila Haye Wa Waila Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2005

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!