Naam Jis Bibi Ka Baba Ne Masooma Rakha Faheem Ali Lyrics In Urdu and Roman Urdu
نام جس بی بیؑ کا باباؑ نے معصومہؑ رکھا
Dar Se Sehmey Hoye Kano Ko Chupa Leti Thi.
Jab Masooma Ko Musalman Nazar Aate They.
Naam Jis Bibi Ka Baba Ne Masooma Rakha.
Be Kafan Oss Ka Hai Zindan Mein Lasha Rakha.
Aah Dono Ke Labon Se Uthi Zakhmo Ke Sabab.
Baap Ke Chehray Pe Jab Beti Ne Chehra Rakha.
Baap Ke Seene Se Utari Tu Kissi Ne Na Kaha.
Pehla Kharon Pe Qadam Kaisay Hai Dukhiya Rakha.
Jaye Tu Kis Ke Liye Jaye Masooma Wapis.
Maa Se Kehti Thi Madine Mein Hai Ab Kya Rakha.
Shukar Ki Sans Masooma Ke Labon Se Nikli.
Qabar Mein Jis Ghari Abid Ne Janaza Rakha.
Neel Rukhsaron Pe Har Roz Tamachon Se Bane.
Pehle Zakhmo Ko Naye Zakhmo Ne Taza Rakha.
Khon Mein Tar Wahin Rakhay Gaye Beti Ke Gohar.
Khon Mein Doba Howa Sar Jahan Sheh Ka Rakha.
Khak Maqtal Ki Masooma Ne Youn Sar Par Rakhi.
Jaisay Dadi Ne Muhammad Ka Amama Rakha.
Rang Hai Yeh Bhi Masooma Ki Azza Ka :AKBAR:.
Har Azza Khane Mein Mashkeza Miley Ga Rakha.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Faheem Ali:
Noha Volume: :Faheem Ali 2021-22:
Composition: :Safdar Kaleem Rizvi:
#NaamJisBibiKa
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com