Qatal-e-Hasan Pe Gham Howa Taza Rasool Ka Lyrics In Urdu and Roman Urdu
قتلِ حسنؑ پہ غم ہوا تازہ رسولؐ کا
Ummat Ne Phir Hai Khon Bahaya Rasool Ka.
Phir Se Rasool Ho Gaye Turbat Mein Be Sakoon.
Ummat Ne Haye Dhaya Hasan Par Sitam Hai Youn.
Tar Hai Hasan Ke Khoon Mein Amama Rasool Ka.
Tarpa Ke Mara Logon Ne Aal-e-Rasool Ko.
Mismar Bhi Kiya Gaya Qabar-e-Batool Ko.
Zakhmo Se Bhar Gaya Hai Kaleja Rasool Ka.
Bad-e-Nabi Jalaya Gaya Fatima Ka Ghar.
Masjid Mein Kar Diya Gaya Zakhmi Ali Ka Sar.
Our Aaj Mar Dala Nawasa Rasool Ka.
Ik Bar Zehar-e-Jodah Se Tukray Howa Jigar.
Ik Bar Teer Logon Ne Barsaye Lash Par.
Do Bar Qatal Ho Gaya Beta Rasool Ka.
Woh Sab Ghadeer-e-Khum Ke They Dushman Baney Rahe.
Sazish Hasan Ke Qatal Mein Shamil Unhi Ki Hai.
Jin Logon Ne Bhulaya Hai Khutba Rasool Ka.
Sadmay Nabi Ko Kya Kya Iss Ummat Ne Hain Diye.
Dil Se Ali Ke Pochay Koi Gham Keh Kis Liye.
Ro Kar Parha Ali Ne Janaza Rasool Ka.
Yasrab Ta Kazmain-o-Najaf Karbala :ASAD:.
Mashhad Mein Qum Mein Sham Mein Hai Saron Ki Lehad.
Hai Dafan Door Door Gharana Rasool Ka.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Molana Abuzar Jaffri:
Noha Volume: :Molana Abuzar Jaffri 2021-22:
Composition: :Molana Abuzar Jaffri:
#QataleHasanPe
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com