Poshaak Mujtaba Ki Syed Wajhi Hasan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
پوشاک مجتبیٰؑ کی
Zainab Bhi Hain Sirhaney Shabbir Bhi Kharey Hain.
Qasim Bhi Baba Jaan Ke Qadmo Mein Ro Rahe Hain.
Haye Zehar Se Hasan Ka Katney Laga Kaleja.
Tukray Jigar Ke Maula Dekho Ugal Rahe Hain.
Poshaak Mujtaba Ki Khoon Se Rangeen Hoi Hai.
Zainab Jigar Ko Thamay Manzar Yeh Dekhti Hai.
Sehma Khara Hai Qasim Bas Rota Ja Raha Hai.
Bachay Pe Kamsini Mein Mushkil Ki Yeh Ghari Hai.
Taboot Mujtaba Ka Aaya Hai Ghar Mein Wapis.
Zainab Pe Yeh Qayamat Kaisi Guzar Rahi Hai.
Mil Jaye Jo Ijazat Seeno Ko Cheer Doon Main.
Hasrat Se Chashm-e-Ghazi Sarwar Ko Dekhti Hai.
Taveez Khol Lena Akbar Se Pehle Qasim.
Ik Baap Ki Wasiyat Sun Lo Yeh Aakhri Hai.
Shabbar Ameer Tha Tu Shabeer Ki Ghareebi.
Dekhon Gi Kaisay Nana Zainab Yeh Sochti Hai.
Pehlu Pe Hath Rakhay Zahra Na Jane Kaisay.
Taboot-e-Mujtaba Se Teeron Ko Chun Rahi Hai.
Baba Hasan Ka Saya Sar Se Jo Uth Gaya Hai.
Farwa Ke Ladlay Ki Dunya Ujar Gayi Hai.
Yaan Tasht Mein Hasan Ka Tukray Howa Jigar Hai.
Shabeer Ke Jigar Mein Barchi Ki Ik Anni Hai.
Hain Aap Ke Badan Mein Jitnay Bhi Teer Aaqa.
Khaon Gi Utnay Pathar Farwa Pukarti Hai.
Khoon Mein Nahaya Beta Dekha Hai Aik Maa Ne.
Lash-e-Hasan Pe Zahra Tasveer-e-Gham Bani Hai.
Jodah Ho Tujh Pe Lanat Tere Sabab Hi Ab Tak.
Matam Kuna Khudai Giriya Kuna Nabi Hai.
Qasim Se Chin Gaya Hai :ASIM: Padar Ka Saya.
Sar Se :WAJIH: Ke Bhi Yeh Chaon Hat Gayi Hai.
Poet: :Asim Zaidi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2021-22:
Composition: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
#PoshaakMujtabaKi
#NohayLyrics
#tajpoint