Ali Bachanay Rajab Ali Khan Lyrics In Urdu and Roman Urdu
علیؑ بچانے
Ali Bachanay Rasool Ban Kar Kahan Kahan Tak Gayi Hai Zahra.
Khari Hoi Hai Hussain Ban Kar Tu Bn Ke Zainab Phiri Hai Zahra.
Woh Jis Ke Dar Se Malaika Bhi Bashar Bhi Khali Kabhi Na Paltay.
Hain Sare Darwazay Band Oss Pe Har Aik Dar Pe Gayi Hai Zahra.
Yeh Oss Ki Ghurbat Ki Inteha Hai Keh Oss Ka Darwaza Jal Raha Hai.
Bharaktay Sholon Ke Darmiyaan Khud Akeli Hairaan Khari Hai Zahra.
Nishaan Tamachay Ka Jo Ayyaan Hai Woh Betiyon Se Chupa Rahi Hai.
Keh Sham Wali Musafira Ke Tamam Dukh Janti Hai Zahra.
Hasan Ki Karb-o-Bala Ki Rodad Ja Ke Koi Hasan Se Pochay.
Kahan Tamacha Laga Hai Maa Ko Kahan Kahan Par Giri Hai Zahra.
Siyah They Sar Ke Baal Oss Ke Woh Ghar Se Darbar Jab Gayi Thi.
Yeh Teen Ghanton Mein Kya Howa Keh Zaeef Ho Kar Chali Hai Zahra.
Ali Ki Ghurbat Pe Ab Bhi :MUHSIN: Ali Ki Talwar Ro Rahi Hai.
Keh Jis Ki Aankhon Ke Samne Hi Tamachay Khati Rahi Hai Zahra.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Rajab Ali Khan:
Noha Volume: :Rajab Ali Khan 2021-22:
Composition: :Hassan Ghouri:
#AyameFatmiyah
#AliBachanay
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com