Chaddar Hassan Ali Lyrics In Urdu and Roman Urdu
چادر
Chadar Har Moor Pe Mangi Hai Sardar Ali Ki Beti Ne.
Har Bar Suna Hai Ummat Se Inkar Ali Ki Beti Ne.
Shabeer Ne Lash-e-Akbar Tak Jis Tarha Kiya Gir Gir Ke Safar.
Youn Uthtey Baithtay Dekhey Hain Bazar Ali Ki Beti Ne.
Pathar Barsay Sholay Barsay Our Hath Pas-e-Gardan They Bandhay.
Chehray Pe Saha Hai Ummat Ka Har Waar Ali Ki Beti Ne.
Dekha Hai Bahatar Ghanton Tak Sajtay Hoye Apne Maqtal Ko.
Chobees Pehar Sajtay Dekha Darbar Ali Ki Beti Ne.
Jaltay Hoye Khaimon Se Oss Ko Kandhoon Pe Utha Kar Layi Thi.
Iss Tarha Bachaya Sholon Se Beemar Ali Ki Beti Ne.
Jo Pathar Sham Ki Aurton Ne Shabeer Ke Sar Ko Marey They.
Do Chaar Rubab Ne Khaye Hain Do Chaar Ali Ki Beti Ne.
Aankhon Aankhon Mein Bhai Se Har Bar Moafi Mangi Hai.
Dekhey Jo Sakina Ke Jab Bhi Rukhsar Ali Ki Beti Ne.
Karta Tha Jab Bhi Shimar Shaqi Shabeer Ke Sar Ki Be Adabi.
Abbas Ke Sar Ko Dekha Hai Har Bar Ali Ki Beti Ne.
Youn Istaqbal Howa Oss Ka Malboos Hi Lal Howa Oss Ka.
Tar Khon Mein :MUHSIN: Dekhi Har Dewar Ali Ki Beti Ne.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Hassan Ali:
Noha Volume: :Hassan Ali 2022-23:
Composition: :Muhsin Jaffri:
#Chaddar
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com