Haye Sadaat Ali Shanawar Ali Jee Lyrics In Urdu 2012
Haye Sadaat Ali Shanawar Ali Jee Lyrics
Haye Sadaat Ne Iss Dehar Mein Kya Kya Dekha.
Apni Aankhon Ko Sada Khon Hi Rota Dekha.
Jis Gharanay Ne Sada Logon Ko Khushiyaan Bantein.
Unn Ko Khushiyaan Na Milein Gham Hi Zyada Dekha.
Woh Muhammad Keh Jo Rehmat Hain Zamane Ke Liye.
Unn Ki Nalain Ko Bhi Khon Mein Doba Dekha.
Sabz Gunbad Ke Qareen Marqad-e-Zahra Hai Magar.
Baap Ne Beti Ki Turbat Pe Na Saya Dekha.
Rotiyaan Mang Ke Jis Dar Se Farishtay Jaein.
Eid Ke Roz Bhi Unn Bachoon Ka Faqa Dekha.
Woh Taqi Ho Keh Naqi Mosi-e-Kazim Ya Raza.
Sakhtiyaan Qaid Ki Our Zehar Ka Payala Dekha.
Pusht Pe Jis Ko Bithatay They Rasool-e-Akram.
Oss Nawasay Hi Ka Sar Bar Sar-e-Naiza Dekha.
Jis Ke Bazu They Rida Zainab-e-Kubra Ke Liye.
Kaisay Bibi Ne Ossay Bazu Buredah Dekha.
Subh-e-Ashor Dhali Sham-e-Ghareebaan Aayi.
Chaar Pehron Mein Qayamat Ko Guzarta Dekha.
Gir Gayi Khak Pe Gash Kha Ke Ali Ki Beti.
Pocha Sughra Ne Ke Pardais Mein Kya Kya Dekha.
Ro Diye :SARWAR-o-REHAN: Jigar Tham Ke Hum.
Jab Azakhaney Mein Rakha Howa Jhola Dekha.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Ali Shanawar – Ali Jee:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2011-12:
#HayeSadaat
#NohayLyrics
#tajpoint