Jalta Howa Darwaza Saghir and Hadi Hassan Taqvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جلتا ہوا دروازہ
Shehzadi-e-Janat Ko Ummat Ne Sataya Hai.
Jalta Howa Darwaza Pehlu Pe Giraya Hai.
Masooma Ke Pehlu Mein Tha Dard Qayamat Ka.
Lekin Na Kiya Pal Bhar Izhar Musibat Ka.
Gham Apna Ali Se Bhi Zahra Ne Chupaya Hai.
Bholi Hi Na Thin Apne Baba Ka Abhi Sadma.
Mohsin Ki Judai Ka Phir Zakhm Mila Taza.
Dunya Ne Dukhay Dil Ko Zahra Ke Dukhaya Hai.
Iss Alam-e-Ghurbat Mein Ab Kaun Dilasay De.
Sar Peet Ke Rotay Hain Konain Ke Shehzaday.
Hasnain Ko Qismat Ne Amma Se Choraya Hai.
Kulsoom Tarapti Hain Dil Phatta Hai Zainab Ka.
Munh Taktay Hain Reh Reh Ke Hasrat Se Ali Sab Ka.
Ik Abar Musayab Ka Sadaat Pe Chaya Hai.
Kab Maa Ko Gawara Hai Keh Oss Ka Pisar Rothay.
Zahra Ki Sada Gonji Khud Banday Kafan Totay.
Aye Mere Hussain Aa Ja Amma Ne Bulaya Hai.
Manzar Woh Qayamat Tha Tadfeen Ki Manzil Ka.
Aankhon Se Tapakta Tha Reh Reh Ke Lahu Dil Ka.
Zahra Ko Ali Ne Jab Turbat Mein Litaya Hai.
Aankhon Mein Ubhar Aaya Jalta Howa Darwaza.
Zahra Ki Shahadat Ka Yeh Dard Bhara Noha.
:SAJJAD: Ne Aye :AKHTAR: Jis Waqt Sunaya Hai.
Poet: :Akhtar Sirsivi:
Noha Khuwan: :Saghir and Hadi Hassan Taqvi:
Khasosi Shirkat: :Sajjad Ashraf Taqvi:
Noha Volume: :Sajjad Ashraf Taqvi 2022-23:
Composition: :Amanat Ali Khan,Sonu:
#JaltaHowaDarwaza
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com