Mahrooma Maa Mazlooma Maa Madar Man Zahra Dr Ali Abbas Rizvi Lyrics 2022
Mahrooma Maa Mazlooma Maa Madar Man Zahra Dr Ali Abbas Rizvi.
Hotey Dekha Jo Apni Aankhon Se Zulm Shabar Kabhi Nahi Bholay.
Kehte They Hasan Yeh Ro Kar Mehroma Maa, Mazloma Maa, Madar Man Zahra.
Tha Kaisa Dard Ka Manzar Jab Tum Pe Gira Tha Woh Dar.
Howa Aap Ka Zakhmi Pehlu Phaili Thi Lahu Ki Khushbo.
Jab Yaad Mujhe Aata Hai Dil Mera Phata Jata Hai.
Zad Pe Tha Hath Tumhara Durrah Qunfuz Ne Mara.
Baad Nana Ke Loag Badlay Hain Kya Zamane Ki Yeh Kharabi Hai.
Jis Ne Gustakhi Sab Se Pehle Ki Mere Nana Ka Woh Sahabi Hai.
Woh Dard Nahi Bholay Ga Jo Manzar Main Ne Dekha.
Woh Hath Nahi Kyun Toota Tumhein Jis Ne Tamacha Mara.
Girtay Hoye Tum Ko Dekha Jab Tum Ne Kaha Ya Baba.
Chehray Pe Zakhm Nishaan Tha Pehlu Se Khon Rawaan Tha.
Jab Khak Pa Girtay Dekha Kuch Kar Na Saka Main Tanha.
Gash Mein Dekha Tu Pukara Adrikni Mere Baba.
Dewar Se Khon-e-Taza Behtay Hoye Main Ne Dekha.
Nana Ko Sada Di Aao Apni Beti Ko Bachao.
Mere Nana Kahan Ho Aa Jao Khak Par Hai Tumhari Lakht-e-Jigar.
Aap Jis Ko Salam Kartay They Haye Sholon Se Jal Gaya Woh Dar.
Nana Yeh Ummat Teri Jeene Bhi Nahi Ab Deti.
Hai Zulm-o-Sitam Ka Tofaan Our Hai Tanha Meri Maa.
Thi Gash Mein Pari Meri Madar Fizza Ne Uthaya Aa Kar.
Thin Pasliyaan Tooti Sari Thi Sans Mein Bhi Dushwari.
Ta Umar :RAZA: Yeh Dekha Mamool :ALI: Tha Unn Ka.
Na Bhool Sakay Yeh Sadma Kartay They Hasan Bas Noha.
Poet: :Raza Shah:
Noha Khuwan: :Dr Ali Abbas Rizvi:
Noha Volume: :Dr Ali Abbas Rizvi 2022-23:
Composition: :Raza Shah:
#MahroomaMaa
#NohayLyrics
#tajpoint