Bus Haider Haider Hoga Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
بس حیدرؑ، حیدرؑ ہو گا
Nabiyon Ne Pukara Haider.
Waliyon Ne Pukara Haider.
Lamhon Ne Pukara Haider.
Sadiyon Ne Pukara Haider.
Arsh-o-Zameen Kya Jin-o-Bashar Kya Sab Ke Labon Par Hoga.
Terah 13 Rajab Ki Eid Aayi Hai Shoor Yeh Ghar Ghar Hoga.
Charon Taraf Khushiyon Ka Sama Hai Jhoom Ke Sare Bolo.
Tum Bhi Misal-e-Buzar-o-Qanbar Raaz Wila Ke Kholo.
Aaj Fiza Mein Zikar-e-Ali Damad-e-Payamber Hoga.
Jis Ke Liye Khaliq Ne Banaya Tha Yeh Khana-e-Kaba.
Yani Khuda Ke Ghar Ka Malik Ghar Mein Hai Aane Wala.
Wadah Hai Yeh ALLAH Ka Jab Tak ALLAH Ho Akbar Hoga.
Haideriyum, Haideriyum, Haideriyum, Haideriyum, Haideriyum, Haideriyum, Haiderium.
Pochein Gay Jab Farishtay Laya Hai Kis Ki Nisbat.
Tu Keh Doon Ga Main Saaf Unn Se Keh Sun Lo Yeh.
Baad Qaza Ka Khof Nahi Hai Yeh Aqeeda Mera.
Jo Momin Hai Oss Ki Lehad Mein Aa Jate Hain Maula.
Yeh Hai Yaqeen Jab Maula Meri Qabar Ke Andar Hoga.
Kaisa Nizam-e-Ishq Rakha Hai Rab Ne Bashar Ke Aagay.
Sare Jahan Ke Sar Ko Jhokana Tha Haider Ke Aagay.
Aik Zacha Khane Ki Charon Samt Jo Chakar Hoga.
Ali Da Malang Main Te Ali Da.
Maula Ali Nal Nisbat Meri.
Charh Gaya Mainu Haidery Rang.
Zikar-e-Ali Hai Ain Ibadat Qaul Hai Peygamber Ka.
Wajib Hai Haider Ki Wilayat Qaul Hai Peygamber Ka.
Ishq-e-Ali Ko Dil Mein Basa Le Tu Bhi Qalandar Hoga.
Arsh-e-Barin Pohanchay Jo Muhammad Baat Khuda Se Karne.
Suntay Hi Aawaz Kaha Jibreel Se Yeh Sarwar Ne.
Rab Tu Nahi Parday Ke Pichey Mera Baradar Hoga.
Sare Nabi Our Sare Farishtay Bolay Zameen Par Aa Kar.
Sab Se Bari Tu Eid Yehi Hai Aaye Jahan Mein Haider.
Khuld-e-Barin Mein Jashan Bapa Hai Jashan Zameen Par Hoga.
Bint-e-Asad Ko Deney Mubarak Mariyam-o-Sarah Aaein.
Lab Pe Saja Ke Midhat-e-Haider Phool Ke Tohfay Laein.
Madah-o-Sara Jab Arsh-e-Barin Par Saqi-e-Kausar Hoga.
Narah Ali Ka Kyun Na Lagaein :MESUM:-o-:MAZHAR: Dono.
Aaj Qasiday Sab Ko Sunaein :MESUM:-o-:MAZHAR: Dono.
Tifal-o-Jawaan-o-Peer Sabhi Ke Narah Labon Par Hoga.
Hum Ashiq Kis Ke Haider Ke.
Dewane Kis Ke Haider Ke.
Hum Chahney Walay Haider Ke.
Mar Mitne Walay Haider Ke.
Qamber, Qanbar Buzar, Buzar Haider, Haider.
Malik, Malik Ashtar, Ashtar Haider, Haider.
Murdah Bolay Kha Kar Thokar Haider, Haider.
Hum Ko Le Chal Khuld Ke Andar Haider, Haider.
Fatah-e-Khaybar Fatah-e-Lashkar Haider, Haider.
Poet: :Mazhar Abidi:
Manqabat Khuwaan: :Mesum Abbas:
Manqabat Volume: :Mesum Abbas 2022-23:
Composition: :Mazhar Abidi:
#BusHaiderHaiderHoga
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com