Dar e Hussain Rajab Ali Khan Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ارضِ دَرِ حُسینؑ سے گر رابطہ نہ ہو
Arz-e-Dar-e-Hussain Se Gar Rabta Na Ho.
Hum Kya Hain Aasman Ka Qad Bhi Bara Na Ho.
Lut Jaein Aik Raat Mein Sajdoon Ke Qafilay.
Ashk-e-Gham-e-Hussain Agar Jagta Na Ho.
Dunya Mein Aisa Koi Samandar Nahi Mila.
Jis Ne Jarri Ki Mashk Se Pani Bhara Na Ho.
Aisa Khateeb Kaun Hai Be Sheer Ke Siwa.
Jo Hujat-e-Khuda Ho Magar Bolta Na Ho.
Mangi Hai Hur Se Iss Liye Karb-o-Bala Ki Khak.
Qismat Sanwarne Mein Koi Masla Na Ho.
Esa Bhi Bhaijtay Hain Mareezo Ko Karbala.
Aisay Mareez Jin Ki Jahan Mein Dawa Na Ho.
Dil Ho Chuka Hai Ulfat-e-Sajjad Ka Aseer.
Logo Duaein Mango Yeh Qaidi Reha Na Ho.
Arsa Howa :BILAL: Keh Dekhi Na Karbala.
Meri Tarha Koi Bhi Watan Se Juda Na Ho.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Rajab Ali Khan:
Manqabat Volume: :Rajab Ali Khan 2022-23:
Composition: :Munawar Ali Khan:
#DareHussain
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com