Main Hoon Abbas e Ali Wajhi Hasan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مَیں ہوں عباسِؑ علیؑ
Chehra-e-Azam Ka Akas Mujhe Kehte Hain.
Kanz-e-Islam Ka Almas Mujhe Kehte Hain.
Dil-e-Shabeer Ka Ahsas Mujhe Kehte Hain.
Shair Hoon Iss Liye Abbas Mujhe Kehte Hain.
Khaliq-e-Haq Se Muhammad Ke Wali Ne Mujh Ko.
Karbala Ke Liye Manga Tha Ali Ne Mujh Ko.
Karta Hai Chehron Ki Har Waqt Ziyarat Quraan.
Jalwah-e-Toor Musalsal Nazar Aaya Hairaan.
Husan-e-Yousuf Bhi Yahan Rakhta Nahi Naam-o-Nishaan.
Falak-e-Husan Pe Sab Husan Ke Soraj Hain Jahan.
Ba Khuda Mulk-e-Wafa Ke Liye Ik Hakim Hoon.
Main Akela Hi Wahan Mah-e-Bani Hashim Hoon.
Apni Kasrat Pe Ho Khush Aaj Zyada Lekin.
Kar Liya Hamlay Ka Tum Sab Ne Iradah Lekin.
Shamiyon Lakhon Ho Tum Main Hoon Akela Lekin.
Tum Ho Serab Main Maqtal Mein Hoon Pyasa Lekin.
Chehra-e-Haider-e-Karrar Ka Akas Nahi.
Tum Ko Nazron Pe Na Roka Tu Main Abbas Nahi.
Dasht-e-Pur Haul Mein Biphra Tha Hussaini Jarrar.
Yak Ba Yak Gonji Jo Haider Ke Asad Ki Lalkar.
Aisa Lagta Tha Qayamat Ke Hain Sare Aasaar.
Nehar Se Keh Ke Yehi Bhag Rahe They Ashrar.
Thartharati Hai Zameen Haq Ke Wali Aate Hain.
Maut Se Kaun Bachaye Ga Ali Aate Hain.
Shamiyon Maut Ke Lamhat Ko Gardaan Bhi Lo.
Jee Nahi Pao Gay Apne Liye Shamshan Bhi Lo.
Shair-e-Haider Hoon Laeeno Mujhe Pehchan Bhi Lo.
Tum Tu Lakhon Hoon Magar Mera Sukhan Jan Bhi Lo.
Bhagay Ke Rah Na Pao Gay Woh Halat Hogi.
Aasteen Main Ne Jo Ulti Tu Qayamat Hogi.
Hain Juda Sab Se Meri Taig-e-Nazar Ke Hamlay.
Malak Al-Maut Hain Humrah Meri Nazron Ke.
Al-Amaan Ka Yeh Sukhan Lakh Zabno Pe Rahe.
Bach Nahi Paye Ga Ab Koi Yahan Marne Se.
Arziyaan Hoon Gi Na Manzoor Guzarish Hogi.
Aaj Maidaan Mein Faqat Maut Ki Barish Hogi.
Bal Yeh Khatay Ho Jo Azmat Pe Hamari Tum Loag.
Jalay Jate Ho Jo Azmat Pe Hamari Tum Loag.
Harf Uthatay Ho Jo Azmat Pe Hamari Tum Loag.
Tilmilatay Ho Jo Azmat Pe Hamari Tum Loag.
Sair Ho Kar Bhi Meri Taig Ke Pyasay Ho Tum.
Mujh Ko Maloom Hai Hinda Ke Nawasay Ho Tum.
Woh Chali Taig-e-Nazar Our Girey Jismo Se Sar.
Khon Hi Khon Nazar Aata Hai Ta Had-e-Nazar.
Mar Gaye Dekh Ke Ghazi Ka Ghazab Hi Aksar.
Dasht-e-Khamosh Ka Wallah Ajab Tha Manzar.
Dekh Kar Waar Ki Raftar Bara Kanp Gaye.
Itna Doray Malak Al-Maut Bhi Keh Hanp Gaye.
Jaisay Qabron Ke Qareen Hoti Hai Ik Khamoshi.
Shair Jab Aaya Tu Afwaj Ki Halat Thi Yehi.
Foaj Ik Dojay Se Maidan-e-Wiga Mein Boli.
Jan Pyari Hai Tu Yeh Baat Hi Behtar Hogi.
Lab-e-Darya Bari Haibat Hai Chalo Bhag Chalein.
Yeh Tu Ajdad Ki Seerat Hai Chalo Bhag Chalein.
Aye :WAJIH: Apni Aqeedat Ki Jila Kuch Bhi Nahi.
Chor Kar Nam-e-Alamdar-e-Wafa Kuch Bhi Nahi.
Wasta Inn Ka Nahi Gar Tu Dua Kuch Bhi Nahi.
Aarzu :MIR HILAL: Iss Ke Siwa Kuch Bhi Nahi.
Behar-e-Irfan Mein Kuch Aisay Utar Kar Jaon.
Samne Roza-e-Abbas Ho Our Mar Jaon.
Poet: :Mir Hilal Rizvi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2022-23:
Composition: :Syed Askari Hasan Zaidi:
#MainHoonAbbaseAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com