Qatra Qatra Aik Hai Askari Hasan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
قطرہ قطرہ ایک ہے
Matam-e-Sheh Mein Lahu Ka Qatra Qatra Aik Hai.
Jism Sab Ke Muktalif Hain Khon Sab Ka Aik Hai.
Waqiya Tareekh Mein Aisa Wafa Ka Aik Hai.
Sainkaron Darya Pe Hain Serab Pyasa Aik Hai.
Arsh Par Khaliq Ali Mimber Pe Zainab Sham Mein.
Jis Muqarar Ko Bhi Suniye Oss Ka Lehja Aik Hai.
Kya Howa Main Ne Jo Behtar Ko Bhattar Parh Liya.
Kar Ke Hajay Dekh Lo Dono Ka Imla Aik Hai.
Khoon Abu Talib Ka Atharah Bani Hashim Mein Hai.
Karbala Mein Har Shujat Ka Hawala Aik Hai.
Sham Ke Parday Se Soraj Sham Ke Lashkar Se Hur.
Nisbatan Dekhein Tu Dono Palatna Aik Hai.
Madar-e-Shabeer Kehti Hai Ossay Apna Pisar.
Yani Sahil Par Bhi Ahmad Ka Nawasa Aik Hai.
Jis Ka Malik Chodah Sadiyaan Ho Gayin Badla Nahi.
Aisa Darya Aik Hai Our Aisa Qabza Aik Hai.
Taig-e-Haider Chashm-e-Ghazi Our Asghar Ki Hansi.
Markay Sab Ke Alag Hain Our Hamla Aik Hai.
Youn Tu Kehne Ko Sabhi Insaan Hain Lekin Aye :BILAL:.
Asal Mein Insaan Wohi Hai Jis Ka Chehra Aik Hai.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Syed Askari Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Askari Hasan Zaidi 2022-23:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#QatraQatraAikHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com