Aao Baba Ko Rukhsat Karo Syed Raza Abbas Zaidi 2023
Aao Baba Ko Rukhsat Karo Syed Raza Abbas Zaidi
Aao Baba Ko Rukhsat Karo.
Aaj Bazu Bhi Hain Our Janaza Bhi Hai.
Betiyaan Thin Janaza Tha Ahsas Tha.
Door Baba Ki Maiyyat Se Abbas Tha.
Waqt-e-Rukhsat Kafan Jab Hataya Gaya.
Aakhri Bar Chehra Dikhaya Gaya.
Apne Abbas Ka Jab Khiyal Aa Gaya.
De Ke Aawaz Shabeer Ne Yeh Kaha.
Jab Se Baba Ne Chomay Hain Shaney Tere.
Karbala Yaad Aati Hai Bhai Mujhe.
Aik Zakhmi Badan Hoga Jab Be Kafan.
Kaun Aaye Ga Bhai Uthane Ossay.
Aaj Sab Hain Chalo Tum Mera Sath Do.
Door Baitho Na Ab Mere Ghazi Utho.
Janta Hoon Bohat Sabar Tum Ne Kiya.
Apne Baba Ke Qatil Ko Pani Diya.
Zakhm Gehra Hai Ab Bhi Shikasta Hai Sar.
Oss Ne Talwar Se Waar Aisa Kiya.
Zarb Ke Zakhm Se Khon Phir Na Bahey.
Dekho Maiyyat Rakhi Hai Bohat Dair Se.
Jaisay Amma Ne Mujh Ko Bulaya Suno.
Tum Bhi Baba Ko Ik Bar Aawaz Do.
Maa Ki Tarha Se Band-e-Kafan Toor Kar.
Apne Seene Se Tum Ko Laga Lein Gay Woh.
Unn Ka Ahsas Ho Tum Tu Abbas Ho.
Mere Baba Ke Dil Ke Bohat Pas Ho.
Bas Yeh Arman Hota Har Baap Ka.
Mere Betay Uthaein Janaza Mera.
Keh Ke Yeh Baat Shabeer Roney Lagay.
Our Phir Hath Seene Pe Rakh Kar Kaha.
Aisa Na Ho Kabhi Baap Uthaye Koi.
Apne Kandhey Pe Maiyyat Jawaan Lal Ki.
Yaad Hai Tum Ko Baba Ne Jate Hoye.
Hath Rakha Tumhara Marey Hath Pe.
Tum Ko Shab Ki Namazon Mein Manga Gaya.
Aye Marey Bhai Karb-o-Bala Ke Liye.
Kya Yeh Sadma Hai Kam Hain Yateem Aaj Hum.
Haye Aagaz-e-Karb-o-Bala Hai Yeh Gham.
Tham Kar Apni Tooti Hoi Pasliyaan.
Dekho Baba Ke Pehlu Mein Bethi Hain Maa.
Haye Ghurbat Wohi Hath Pehlu Pe Hai.
Taziyano Ke Jis Par Hain Ab Bhi Nishaan.
Dekho Aye Ba Wafa Sath Hain Mustafa.
Chal Ke Baba Ko Ab Bool Do Alwida.
Dekho Baba Ki Maiyyat Se Lipati Hai Woh.
Tum Hi Zainab Ke Jeene Ki Umeed Ho.
Bhai Shabar Ne Rukh Se Hataya Tha Jo.
Apne Hathoon Se Tum Woh Kafan Bandh Do.
Aks-e-Khaybar Shikan Mar Na Jaye Behan.
Tum Ko Dekhey Gi Tu Chor De Gi Kafan.
Baat Behno Ki Aayi Tu Ghazi Uthay.
Apne Baba Ki Maiyyat Ki Janib Chaley.
Aa Ke Baba Qadmo Ka Bosa Liya.
Aye :RAZA: Haal :ZEESHAN: Kaisay Likhe.
Jab Janaza Utha Ghar Mein Kuhram Tha.
Ro Ke Abbas Ne Bhaiyon Se Kaha.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2022-23:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#AaoBabaKoRukhsatKaro
#NohayLyrics
#tajpoint
21 Ramzan Noha Aao Baba Ko Rukhsat Karo Syed Raza Abbas Zaidi
Mola Ali Shahadat Noha Aao Baba Ko Rukhsat Karo Syed Raza Abbas Zaidi