Abbas Ki Yateemi Syed Ali Naqvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
عباسؑ کی یتیمی لے کر سحر ہے آئی
Abbas Ki Yateemi Le Kar Sahar Hai Aayi.
Hasnain Par Ajab Hi Ghurbat Nazar Hai Aayi.
Kulsoom Ro Rahi Hain Lab Par Yehi Hai Noha.
Haider Ko Le Ke Zakhmi Kaisay Woh Ghar Hai Aayi.
Mara Gaya Namazi Haye Ghazab Howa Hai.
Talwar-e-Zulm Dekho Bhar Kar Zehar Hai Aayi.
Umm Ul-Baneen Ne Dekha Zakhm-e-Sar-e-Ali Jab.
Kaisay Sanbhalay Apna Haye Jigar Hai Aayi.
Zakhmi Ali Ka Sar Hai Chehra Howa Hai Neela.
Taseer Oss Zehar Ki Dekho Ubhar Hai Aayi.
Kaisay Bhulaye Zainab Ikeeswin Ka Manzar.
Dard-o-Boka Ke Din Woh Nazron Mein Bhar Hai Aayi.
Amma Ka Gham Hai Taza Ab Aap Bhi Na Hoon Gay.
Kitni Kathin Hai Baba Yeh Rash Guzar Hai Aayi.
Ashor Ke Hai Jaisa Haider Ke Ghar Ka Manzar.
Aah-o-Boka Ki Dekho Jaisay Lehar Hai Aayi.
Khali Jo Dekha Bistar Bint-e-Ali Yeh Boli.
Baba Tumhare Gham Mein Har Aankh Bhar Hai Aayi.
Haider Guzar Gaye Hain Ik Shoor Uth Raha Hai.
Bad-e-Saba Tu Kaisi Le Kar Khabar Hai Aayi.
Zahra Ke Khandaan Par Roya :SHAKEEL: Likh Kar.
Kitni Musaibon Ki Sham-o-Sahar Hai Aayi.
Poet: :Shakeel Kazmi:
Noha Khowan: :Syed Ali Naqvi:
Noha Volume: :Syed Ali Naqvi 2022-23:
Composition: :Kashan Abidi:
#AbbasKiYateemi
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com