Chashm e Azza Shoar Nahi Lag Rahe They 2023
Chashm e Azza Shoar Nahi Lag Rahe They Woh – Hum
Jaisay Aap Ko Behtar Lagay Radeef Waisay Samajh Lein.
Chashm-e-Azza Shaar Nahi Lag Rahe They Woh / Hum.
Gham Yeh Hai Ghamgusar Nahi Lag Rahe They Woh / Hum.
Kal Raat Roney Walon Ki Ik Bheer Thi Magar.
Giriye Ke Pasdar Nahi Lag Rahe They Woh / Hum.
Aaye Hoye They Soag Mananay Kuch Iss Tarha.
Huliye Se Sogowar Nahi Lag Rahe They Woh / Hum.
Sab Ke Saron Mein Khak Chamakti Thi Raat Din.
Oss Par Bhi Khaksaar Nahi Lag Rahe They Woh / Hum.
Honton Pe Haye Haye Ka Tha Shor-e-Mutmain.
So Nafs-e-Be Qarrar Nahi Lag Rahe They Woh / Hum.
Dil Mein Kissi Ki Qabar Basaney Ke Dawaydar.
Ujra Howa Mazar Nahi Lag Rahe They Woh / Hum.
:AKBAR: Kahan Se Barhta Bhala Al-Ajal Ka Noor.
Jab Shama-e-Intezar Nahi Lag Rahe They Woh / Hum.
Poet: :Hasnain Akbar:
#WohHum
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Chashm e Azza Shoar Nahi Lag Rahe They 2023 Write Up Poster Image
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
