Qum Main Kuch Roz Guzaron Hasnain Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
قُم مِیں کُچھ روز گُزاروں
Chahiye Mujh Ko Baqa Waqt-e-Fana Se Pehle.
Qum Mein Kuch Roz Guzaron Main Qaza Se Pehle.
Qum Ki Rahoon Pe Jabeen Sayi Karon Ga Bibi.
Aap Ke Dar Pe Main Sajdoon Ki Ada Se Pehle.
Qum Ke Sang Rezoon Ki Tasbeeh Musallay Pe Rakhon.
Our Chomo Main Ossay Khak-e-Shifa Se Pehle.
Madh-e-Masooma-e-Qum Se Meri Tauqeer Barhi.
Main Tha Be Naam-o-Nishaan Unn Ki Sana Se Pehle.
Kar Diya Dukhtar-e-Kazim Ne Atta Rizq-e-Sukhan.
Kya Tha Kasay Mein Mere Unn Ki Atta Se Pehle.
Yeh Kareemi Ka Hai Andaz Khuda Ke Jaisa.
Mera Daman Hai Bhara Meri Sada Se Pehle.
Hum Gareebon Ka Zamane Ki Sitam Khezi Mein.
Kaun Yawar Tha Moeen-o-Zoafa Se Pehle.
Midhat-e-Shah-e-Khurasan Jo Karni Ho :FARAZ:.
Zikar e Masooma Karo Zikar e Raza Se Pehle.
Poet: :Faraz Haider Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Hasnain Abbas:
Manqabat Volume: :Hasnain Abbas 2020-21:
Composition: :Hasnain Abbas:
#QumMainKuchRozGuzaron
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com