Muslim Ke Lal Zia Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مُسلمؑ کے لال خون مِیں ڈوبے لبِ فرات
Muslim Ke Lal Khon Mein Dobay Lab-e-Furat.
Be Sar Badan Hain Khak Pe Haye Lab-e-Furat.
Larzah Hai Aasmaan Pe Tarapney Lagi Zameen.
Kehte Hain Ashkbar Yeh Sab Arsh Ke Makeen.
Ya Rab Kabhi Na Youn Koi Tarpay Lab-e-Furat.
Bachoon Se Jab Laeen Ne Suna Tha Madad Karo.
Mushkil Bari Hai Aao Na Baba Madad Karo.
Marey Shaqi Ne Rukh Pe Tamachay Lab-e-Furat.
Hathoon Mein Rasi Bandh Ke Khaincha Gaya Unhein.
Mara Gaya Tu Jan Se Mara Gaya Unhein.
Jo Kar Rahe They Shukar Ke Sajday Lab-e-Furat.
Yeh Bhi Sitam Howa Hai Tarai Ke Samne.
Mara Gaya Hai Bhai Ko Bhai Ke Samne.
Bhai Ka Dil Na Youn Kabhi Larzay Lab-e-Furat.
Zalim Ne Phir Se Taig Sitam Ki Chalai Hai.
Ab Iss Ne Chotay Bhai Ki Gardan Aurai Hai.
Ab Tak Hain Jis Ke Khon Ke Cheentay Lab-e-Furat.
Kat Kar Girey Zameen Pe Bachoon Ke Tan Se Sar.
Aati Sada Saron Se Keh Jaan Waar Di Magar.
Hum Be Khata Hain Tere Kinaray Lab-e-Furat.
:SAAIB:, :ZIA: Parho Yeh Qayamat Ka Marsiya.
Muslim Ke Do Pisar Ki Ghareebi Ke Haal Ka.
Liptay Hain Jin Ke Aaj Bhi Lashay Lab-e-Furat.
Poet: :Saaib Zaidi:
Noha Khuwan: :Zia Abbas:
Noha Volume: :Zia Abbas 2023-24:
#MuslimKeLal
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com